Faryad hai faryad
Roro ke bayaa(n) karte the sayyed-e-abraar
Lo meri kamar tor gaya mera alamdaar
(Faryad hai faryad) x6
Be bazu pari laash hai Zainab ke akhi ki
Sayyedaniyo(n) ab apni ridao(n) se khabardaar
(Faryad hai faryad) x4
Ay Zainab-o-kulsum dilasa mujhe dedo
Abbas ke marne se chali qalb pe talwaar
(Faryad hai faryad) x4
Ab baad-e-alamdaar hu(n) mei(n) jine se qasir
Lashkar ho tumhi tumhi ho lashkar ke alamdar
(Faryad hai faryad) x4
Kyu(n) koh alam qalb-e-musafir mei hi tora
Khush hote hai tanhaayi pe ab meri sitmaghaar
(Faryad hai faryad) x4
Tum saath na choroge kiya tha yahi wada
Hone ko hai mazloom pe kuffar ke yalghaar
(Faryad hai faryad) x4
Ye tera bicharna meri jaa(n) leke rahenga
Zindaan-e-gham-o-ranj mei bekas hai giriftaar
(Faryad hai faryad) x4
Ab tere bina bhaayi tera kaise jiyenga
Mere liye ik saans bhi lena huwa dushwaar
(Faryad hai faryad) x4
"Rehan" lab-e-nehr sada gunj rahi thi
Abbas tere baad qayamat ke hai asaar
(Faryad hai faryad) x6