Shaam ka zindaan
(Haaye masoom Sakina) x6
(Shaam ka zindaan hai ye shaam ka zindaan) x3
(Shaam ka zindaan hai ye shaam ka zindaan) x2
Hai mawt ki tareeki ujaala bhi nahi hai
Sajjad Sakina ki nikal jayengi ab jaan
(Shaam ka zindaan hai ye shaam ka zindaan) x2
Halat ye Sakina ki khura soch muhaari
Masooma pe dhaate na sitam haaye musalmaan
(Shaam ka zindaan hai ye shaam ka zindaan) x2
Hai khaak basar ankho(n) se ansu(n) bhi rawaa(n) hai
Ye haal Sakina ki yateemi ki hai pehchaan
(Shaam ka zindaan hai ye shaam ka zindaan) x2
Sajjad ke haatho(n) pe hai alhamd ki ayat
Jakra huwa zanjeero(n) mei hai natik-e-quraan
(Shaam ka zindaan hai ye shaam ka zindaan) x2
Afsos tarasta raha lasha bhi kafan ko
Ye shaam mei ummat ne kiye aal pe ehsaan
(Shaam ka zindaan hai ye shaam ka zindaan) x2
Masoom ka gham apne naseebo(n) mei likha hai
Bakhshish ka hai "Jawwad-o-raza" ka yahi samaan