Ye kiske gham
(Yeh kis kay gham mei rona hay yeh kis kay naam ka pursa hay) x4
Yeh matam uska matam hai jo nahr kinaray tha piyasa
(yeh rona uske gham main hay) x2 sajday main jis ko mara hay
(Yeh kis kay gham mei rona hay yeh kis kay naam ka pursa hay) x2
woh jis kay liye uski beti aada kay sitam say ro na saki
(yeh matam hay us kumbe ka) x2 Pardes mei jis ko luta hay
(Yeh kis kay gham mei rona hay yeh kis kay naam ka pursa hay) x2
din biha kay aye tu uskay haathoo main lagi khoon ki mehndi
(hamshaql-e-Nabi kehtay thay jisay) x2 yeh uskay gham main rona hay
(Yeh kis kay gham mei rona hay yeh kis kay naam ka pursa hay) x2
jo teer galay par khaye huwe sota hay andharay jangal main
(dil khoon kay ansoo rota hai) x2 jab samnay jhola ata hay
(Yeh kis kay gham mei rona hay yeh kis kay naam ka pursa hay) x2
woh jis ki lahad zindaa main bani bandhi gayi gardan main rassi
(ju kehti rahi Baba dekho) x2 zindaa main mera dam ghut'ta hai
(Yeh kis kay gham mei rona hay yeh kis kay naam ka pursa hay) x2
yeh matam kiya hay khanjer hay har fikr-e-yazeedi kay uper
(deewaaro(n) say ruk sakta nahi) x2 yeh darya aisa darya hay
(Yeh kis kay gham mei rona hay yeh kis kay naam ka pursa hay) x2
woh jis nay apnay bhaayi ke payghaam ko zinda rakha hay
(Islam jo ab tak baqi hai) x2 yeh farsh-e-aza ka sadqa hay
(Yeh kis kay gham mei rona hay yeh kis kay naam ka pursa hay) x2
"Rehan-o-Raza" yeh shukr karo virse main azaadari pai
(Zahra ki dua kaam ati hai) x2 Ghazi ke alam ka saya hay
(Yeh kis kay gham mei rona hay yeh kis kay naam ka pursa hay) x4