Rona Shabbir pe sunnat hai audio file
Rona Shabbir pe sunnat hai
mere ashko ki zamanay zara keemat kerna
gham-e-Shabbir main rona meri sunnat kerna
(Rona shabbir pay sunnat hai bayaa(n) kerta hoon) x3
(Rona shabbir pay sunnat hai bayaa(n) kerta hoon) x2
Ghar main bethay thay ke aye wahan HUSSAIN o HASSAN
godi lay ker unhain betaab Nabi hone lage
baad Hamza kay pehli baar Nabi ronay lagay
apnay Qasim kay liye bhi na aisa roya tha
dono shezaado(n) ki khatir woh jaisa roya tha
main Mohammad ki jo haalat hay bayaa(n) kerta hoon
(Rona shabbir pay sunnat hai bayaa(n) kerta hoon) x2
Mujh say fermaya ke na pooch ay Umm-e-Salma
Mene phir arz ki ay jaa(n) meri Allah ke Nabi
aisi halat ne mene aap ki dekhi na kabhi
Kiske ghum may yeh khoolay gaisoo hain aur ashq rawaa
haye kiya baat hay kay sar per ammama na raha
ani aaj kiya qiyaamut hay bayaa(n) kerta hoon
(Rona shabbir pay sunnat hai bayaa(n) kerta hoon) x2
Yeh jo Matti hay isay kehtay hain sab karbobala
haye ik roz wahan mera nawasa hoga
Jaam-e-kauser ka yeh maliq wahan pyaasa hoga
surkh ho jaye yeh matti to samjhna bibi
meray Shabbir ki be juram Shahadut hogi
Umm-e-Salma ye haqeeqat hay bayaa(n) kerta hoon
(Rona shabbir pay sunnat hai bayaa(n) kerta hoon) x2
us kay sukhay galay pay phir woh churi pherenge
us ke sar kaat ke phir naizay pay uthaayenge
mujhe Haider haye Zahra ko woh rulaayenge
us ka sar naizay say neechay layee(n) utarenga
ik najis hontoo pay us ko chari marega
haye kaisi woh aziyyat hai bayaa(n) kerta hoon
(Rona shabbir pay sunnat hai bayaa(n) kerta hoon) x2
meri sunnat hay meray bachay ka matam kerna
kis kay mernay say koi pehlay nahi rota hay
mujhe Shabbir pay rone ka hukam hota hai
meray ashko(n) ki zamanay zara keemat karna
Gham-e-Shabbir pay rona meri sunnat kerna
Yeh Muhammad ki wasiyyat hai bayaa(n) kerta hoon
Gham-e-Shabbir say sajay hain mominoo kay ghar
yeh sachi baat zamanay ko ham sunayenge
ta qiayamt yeh wasiyyat na hum bhulaayenge
aaj "Ramzaan-o-Raza" perhtay hain jin ke Nohay
kal ko aulaad hamari perhay in kay Nohay
is say zyaada kya ghanimat hay Bayaa(n) kerta hoon
(Rona shabbir pay sunnat hai bayaa(n) kerta hoon) x2