Taboot per Hassan ke audio file
Taboot per Hassan ke
(Haay Hassan, Maula Hassan) x4
(Taboot per Hassan ke jo teer aa rahe hain) x4
(Taboot per Hassan ke jo teer aa rahe hain) x2
Maula Hussain lay ker ghar say gaye thay jisko
Nikla huwa janaza, haay haay
Nikla huwa janaza, kyu(n) ghar main la rahay hain
(Taboot per Hassan ke jo teer aa rahe hain) x2
Kya haal hai na poocho Zainab si ik bahan ka
Ansu zamee(n) pay gir key, haay haay
Ansu zamee(n) pay gir key, noha suna rahay hain
(Taboot per Hassan ke jo teer aa rahe hain) x2
Khof-e-khuda hi karte ay ahl-e-zulm kuch to
Marqed main Mustafa bhi, haay haay
Marqed main Mustafa bhi, ansoo baha rahay hain
(Taboot per Hassan ke jo teer aa rahe hain) x2
Aye zalimo(n) sitam ki yeh kaisi intihaa hai
Quran-e-amn per kyu(n), haay haay
Quran-e-amn per kyu(n), yeh teer aa rahay hain
(Taboot per Hassan ke jo teer aa rahe hain) x2
Gunchay nahi yeh toray mara hay baghbaa(n) ko
Baagh-e-Nabi kay gunchay, haay haay
Baagh-e-Nabi kay gunchay, mur jaaye ja rahay hain
(Taboot per Hassan ke jo teer aa rahe hain) x2
Kya haal hai na poocho Zainab si ik bahan ka
Ansu zamee(n) pay gir key, haay haay
Ansu zamee(n) pay gir key, noha suna rahay hain
(Taboot per Hassan ke jo teer aa rahe hain) x2
Shabbir pe sitam ka aaghaaz ho raha hai
"Rehaan" aur "Raza" yeh, haay haay
"Rehaan" aur "Raza" yeh, nawha suna rahay hain
(Taboot per Hassan ke jo teer aa rahe hain) x2