Zad par sitam
(Zad par sitam ki abid-e-beemar aagaya) x3
(Zad par sitam ki abid-e-beemar aagaya) x2
zakhmi kisi ki pusht hay zakhmi kisi ka sar
durre liye har eik sitamghaar aagaya
(Zad par sitam ki abid-e-beemar aagaya) x2
Aisa laga kay bachi ki ab saans ruk gayi
Shimr-e-laee(n) jo samnay ik baar aagaya
(Zad par sitam ki abid-e-beemar aagaya) x2
Nezo(n) pe khoon rote huwe wariso(n) kay sar
Manzar nazar kay samnay khoonbaar aagaya
(Zad par sitam ki abid-e-beemar aagaya) x2
jalti huwi zameen pe sub phool so gaye
maoo(n) pay ghum ka koh-e-giraa baar aagaya
(Zad par sitam ki abid-e-beemar aagaya) x2
Yeh bhi situm Hussain kay ghumkhawaar dekh lo
bazaar dekh aye woh darbaar aagaya
(Zad par sitam ki abid-e-beemar aagaya) x2
armaan tha rihaayi ka zindaa main mar gayi
dafnanay aik laagar-o-bimaar aagaya
(Zad par sitam ki abid-e-beemar aagaya) x2
Leykin sitam kay samnay gardan nahi jhuki
zindaa may ban kay qafla salaar aagaya
(Zad par sitam ki abid-e-beemar aagaya) x2
Kumbay say Syeda kay muwaddat yahi to hai
noha nigaar sheh ka kalmgaar aagaya
(Zad par sitam ki abid-e-beemar aagaya) x4