Zuljanah
(Zuljanah Zuljanah Zuljanah Zuljanah) x2
(Ahl-e-imaa(n) pay tera zuljanah ehsaan bara) x3
(Ahl-e-imaa(n) pay tera zuljanah ehsaan bara) x2
baad girnay kay koi teer na Syed ko laga
teer aye mager tu Sheh ki waha dhal bana
(Ahl-e-imaa(n) pay tera zuljanah ehsaan bara) x2
tu nay mazloom ki janib kise aane na diya
teero(n) ki barishain har zulm laeeno(n) ka saha
(Ahl-e-imaa(n) pay tera zuljanah ehsaan bara) x2
kabhi Maula kay tan ka ban kay muhafiz hay khara
Zuljanah teri wafaa dekh rahi hay Zahra
(Ahl-e-imaa(n) pay tera zuljanah ehsaan bara) x2
dekha Zainab ko Zuljanah nay tu pairo(n) pay gira
Bibi gamgheen ho aya hu(n) shah-e-dee(n) ke siwa
(Ahl-e-imaa(n) pay tera zuljanah ehsaan bara) x2
Tera baba gaya aur meri qayinaat gayi
Alvida keh kay Sakina ko zamanay say chala
(Ahl-e-imaa(n) pay tera zuljanah ehsaan bara) x2
Chumtay ho inhain kyu haath lagatay ho bhala
hum tu "ramzan-o-raza" bholay nahi is ki wafa
(Ahl-e-imaa(n) pay tera zuljanah ehsaan bara) x2