Shah-e-khurasaan Raza audio file
Shah-e-khurasaan Raza
(Ay ghareeb ul-ghuraba, Shaah-e-khurasan Raza) x3
(Ay ghareeb ul-ghuraba, Shaah-e-khurasan Raza) x2
Us ghari arsh-o-makeen dard say thrray the
App kay gham may tarapta raha quran Raza
(Ay ghareeb ul-ghuraba, Shaah-e-khurasan Raza) x2
Haye joo kar na saki akhri deedar bahen
Teri ghurbat teri mazloomi pay qurban Raza
(Ay ghareeb ul-ghuraba, Shaah-e-khurasan Raza) x2
Sheyr-e-qaleen say kehne per utar aya hai
Apkey dar paye azar the insane Raza
(Ay ghareeb ul-ghuraba, Shaah-e-khurasan Raza) x2
App key naam pay sadiyyon say hai jari langer
Bhool saktey nahi hum aap ka ahsaan Raza
(Ay ghareeb ul-ghuraba, Shaah-e-khurasan Raza) x2
Batti hai app kay maydaan-e-shaffa main sehat
Mushkil-e-kartey hain her aik ki assan Raza
(Ay ghareeb ul-ghuraba, Shaah-e-khurasan Raza) x2
Khayriyat se wo safar karta rehay gaa har din
Iss karamat pay zamana huwa hayraan Raza
(Ay ghareeb ul-ghuraba, Shaah-e-khurasan Raza) x2
App key dar pay jhukatey hai(n) farshtey bhi jabee(n)
App key dar pay malaaik bhi hain darban Raza
(Ay ghareeb ul-ghuraba, Shaah-e-khurasan Raza) x2
Mai(n) bhi Rizvi hoon "Raza" Rizvi nasab hai "Rehan"
App hum donno key jad hain yee bara hai ahsan
App ka naam hai hum dono ki phenchan Raza