Ro kay Zanjeer
Ro kay Zanjeer pukari kay ye kaisa hai safar X3
Kaidi jab ho kay chala sayeed wala ka pee-sar
Ro kay Zanjeer pukari kay ye kaisa hai safar X2
Raastaa kaisa yeh dushwar hai kata hi nahi
Kafala bay kaso mazloom ka rukhta hi nahi
Paw sajjad ka zakhmi hai to uthta hi nahi
Khaat-m hoti nahi ai shaam teri raha guzar
Ro kay Zanjeer pukari kay ye kaisa hai safar X2
Sajjad ko saye utha datay hein
Aankh lag jaye to Zanjeer hila daytay hein
Kahein rukh jaye tuo durr-o say saa-za deytay hein
Tane Bemar huwa jata hai sub khoon may ter
Ro kay zanjeer pukari kay ye kaisa hai safar X2
Ro kay bunta hi raha ghum kay woh taanay Aanay
bhai sajjad ko maqtal ki hawa bat laanay
Phir sukoo paw-aw kaha jake khuda hi jane
Kesay hogi may-ree sughra ko medin-ay may khabar
Ro kay Zanjeer pukari kay ye kaisa hai safar X2
Naa-tawani kay ye alam hai kay chal-na hey mohal
Binte zehra hey parashan aur sakina hey nee-dhaal
haye akber ki judayi say hai Laila bayhaal
lab pe hai maader-e-baysheer kay haye Asger
Ro kay zanjeer pukari kay ye kaisa hai safar X2
kaabay-e her chize immamat kay huwa karti hai
rehbare haq kay ishare pay chalaa ker ti hai
Isko dhare pay baha dey wo baha ker ti hai
or agar rook dey hut jaye zami ka mehwar
Ro kay zanjeer pukari kay ye kaisa hai safar X2
Kaid kha-nay may sakina nay bhee dum tor diya
apna rishta shahe mazloom say bhee jore liya
ashk baatil ki hawa-on ka bhi rookh mor diya
haye zinda mai gayi jahan say wo ghoot ghoot kar.
Ro kay zanjeer pukari kay ye kaisa hai safar X4