Ehle haram mei
(Ehle haram me shor hai barpa haaye hussaina haaye hussain) x4
(Ehle haram me shor hai barpa haaye hussaina haaye hussain) x2
(Koi sar ko peet raha hai) x3
Peet raha hai koi seena
Haay hussaina haay hussain
Ehle haram me shor hai barpa haaye hussaina haaye hussain
(ehle zameen me ehle falak me) x3
Ye ek nauha goonj raha hai
Haay hussaina haay hussain
Ehle haram me shor hai barpa haay hussaina haay hussain
(Khoon me namaaze doob gayi hai) x3
Qatl huwa kaabe ka kaaba
Haay hussaina haay hussain
Ehle haram me shor hai barpa haay hussaina haay hussain
(koyi gala teero se chida hai) x3
Khaa ke gira hai koi neza
Haay hussaina haay hussain
Ehle haram me shor hai barpa haay hussaina haay hussain
(koi madine me hai tanha) x3
Dekh rahi hai sab ka rasta
Haay hussaina haay hussain
Ehle haram me shor hai barpa haay hussaina haay hussain
(dhund nikli hai wo sina) x3
Khogayi ran me bali sakina
Haay hussaina haay hussain
Ehle haram me shor hai barpa haay hussaina haay hussain
(Lut gaya samaan chin gayi chaadar) x3
Khaak pe betha hai aapka kunba
Haay hussaina haay hussain
Ehle haram me shor hai barpa haay hussaina haay hussain
(ya ali kehkar zainab royi) x3
Honto se bas itna hi nikla
Haay hussaina haay hussain
Ehle haram me shor hai barpa haay hussaina haay hussain
(hai jo "naveed" ik matam barpa) x3
Pursa lene aayi hai zehra
Haay hussaina haay hussain
(Ehle haram me shor barpa haay hussaina haay hussain)