Lawt ayi safar audio file
Lawt ayi safar
Likha hai raawi nei, jis tarha karb ka mehzar
Rakam karun mei bhala, kis tarha se woh manzar
Bapaa tha souze alam se, madine mei mehshar
Nabi ke rouze pe, aayi jo zainabe muztar
Lipat ke kabr se, binte ali ne nauha kiya
Duhaayi nana mujhe, karbala ne loot liya
(Lout aayi safar se mei, ghar baar luta nana) x3
- (sab qatl huwa kunbaa) x2 be jurm-o-khata nana
(Lout aayi safar se mei, ghar baar luta nana) x2
- (Kya kya na sitam guzre zainab pe asiri mei) x2 Dekho to zara uth kar, tum haal mera nana
(Lout aayi safar se mei, ghar baar luta nana) x2
- (Kuch touke aziyat ke aabid ke badan par hai) x2 Kuch mei bhi bataaungi jo zulm huwa nana
(Lout aayi safar se mei, ghar baar luta nana) x2
- (Goro se kiya tukde tan qaasim-e-muztar ka) x2 Akber ko mere neza sine pe laga nana
(Lout aayi safar se mei, ghar baar luta nana) x2
- (Dil dub gaye gham se har aas ne dam tora) x2 Abbas-e-Ali mera jab qatl huwa nana
(Lout aayi safar se mei, ghar baar luta nana) x2
- (ik paani ke qatre ki khatir mere asgher ka) x2 Cheda gaya nawak se nanna sa gala nana
(Lout aayi safar se mei, ghar baar luta nana) x2
- (jis naake pe baithi thi us naake ke pehlu mei) x2 neze pe sare sarwar aada ne rakha nana
(Lout aayi safar se mei, ghar baar luta nana) x2
- (kya kam tha qayamat se woh waqt na bulungi) x2 balwe mei nathi sar par ham sabke rida nana
(Lout aayi safar se mei, ghar baar luta nana) x2
- (Gut gut ke sakina ne zindaan mei jaan dedi) x2 markad bhi sakina ka zindaa mei bana nana
(Lout aayi safar se mei, ghar baar luta nana) x2
- (Pursa to mujhe dije kunbe ke ujar ne ka) x2 Pucho to nawasi se rudaade jafa nana
(Lout aayi safar se mei, ghar baar luta nana) x2
- (Bin bhai ke ab zainab zindaa nahi reh sakti) x2 Aajaye ajal jaldi hai aisi dua nana
(Lout aayi safar se mei, ghar baar luta nana) x2
- (purse ko anees aaye shabbir ki majlis mei) x2 Hai naala kunaa gham mei de unko dua nana