- Ay mere raahate jaa naujawaan, Akbare maa, tujpe qurbaan ye maa naujawaan, Akbare maa, jawaan
(Akbar-e-man nawjawaan) x5 Akbare maa
- Saal atharwaa kya banke qayamat aaya, chand se sine pe pardes mei neza khaya, hai kahaan zakhme sinaa, bol kuch to meri jaan
(Akbar-e-man nawjawaan) x5 Akbare maa
- Baap ki aankhon se binaai meri aas gayi, tujko kausar ki taraf leke teri pyaas gayi, meri tarapti hun yahaan, ay meri raahate jaan
(Akbar-e-man nawjawaan) x5 Akbare maa
- Waada sughra se kiya tha jo chale the garse, lout aaunga bohot jald mei tujse milne, dhund ti hai who behen, tere kadmon ke nishaan
(Akbar-e-man nawjawaan) x5 Akbare maa
- Tumko athara baras naazon se jisne paala, who phuphi beton se bharkar tumhe jisne chaha, kehti hai laut ke aa, ho gaya waqte azaan
(Akbar-e-man nawjawaan) x5 Akbare maa
- Khaake sine pe sina sota hai tu lakhte jigar, tere bin zindaa na rehpaaegi teri madar, uske haathon mei rasan, jiska ho laal jawaan
(Akbar-e-man nawjawaan) x5 Akbare maa
- Aagayi gyara moharam hai safar zindaan ka, he pase-pusht bandhe haath nahi sarpe rida, kya gawaara hai tujhe, thokare khaye ye maa
(Akbar-e-man nawjawaan) x5 Akbare maa
- Touk karta hai fughaan karti hai matam zanjeer, ashk khun rote hai neze pe janabe shabbir, paaye Sajjad ke hai, aable nauha kunaa
(Akbar-e-man nawjawaan) x5 Akbare maa
- Maa ke armaan tere saath hi soye ban mei, tune sine pe sina khaayi kuch aise ran mei, roya "Rehan" kalam, likh ke laila ka bayaan