- (Is zikr ka hai daman) x2 Sirf naam karbala ka
(Ta hashr zikr honga is dehr me wafaa ka) x2
- (Mojoon ne tashnalab ko uth uth ke di salaami) x2 (Darya pe aise aaya, farzand-e-murtaza ka) x2
(Ta hashr zikr honga is dehr me wafaa ka) x2
- (Tha andhiyo ki zad pe islam ka safina) x2 (Abbas ke alam ne, mora hai rukh hawaa ka) x2
(Ta hashr zikr honga is dehr me wafaa ka) x2
- (Uska alam hai uncha bazu nahi hai jiske) x2 (Ye hai dua-e-Zainab, eyjaaz hai wafaa ka) x2
(Ta hashr zikr honga is dehr me wafaa ka) x2
- (Shehr-e-jari ka parcham, khul kar ye kehraha hai) x2 (Barta rahenge yuhi ye karwan wafaa ka) x2
(Ta hashr zikr honga is dehr me wafaa ka) x2
- (Is tarha ki jari ne jazbo ki paas dari) x2 (Abbas naam rakha, Shabbir ne wafaa ka) x2
(Ta hashr zikr honge is dehr me wafaa ka) x2
- (Roro ke pyaase bache, faryad kar rahe hai) x2 (Matam bapaa hai ran me, sakaaye karbala ka) x2

- (Darya ki simt dekha or ro ke boli Zainab) x2 (Ab kon hai muhafiz bhayya meri ridaa ka) x2

- (Abbas ke alam ko jukar jo aye gohar) x2 (Hai zindagi ka daman jonka wahi hawa ka) x2