- (Karti hai behen ro ro ke bukaa) x2 Abbas dilawar aajawo
(Tha zainab-e-muztar ka nauha) x2 Abbas dilawar aajawo
- (Mayyat hai jawaan shehzade ki or sheh bhi zaeefi ka aalam) x2 (Sheh kaise uthaye ye lasha) x2 Abbas dilawar aajawo
(Tha zainab-e-muztar ka nauha) x2 Abbas dilawar aajawo
- (Hai lakho do shamsheer badan ik shehr akela hai ran me) x2 (Zakhmi bhi bohot hai bhayi mera) x2 Abbas dilawar aajawo
(Tha zainab-e-muztar ka nauha) x2 Abbas dilawar aajawo
- (Mai kabse bulaati hu tumko me kabse sadaaye deti hu) x2 (Kyu sunte nahi tum meri sadaa) x2 Abbas dilawar aajawo
(Tha zainab-e-muztar ka nauha) x2 Abbas dilawar aajawo
- (Ghar lut chuke hai ehle sitam ab chadar lootne aye hai) x2 (Hai waqt qayamat ka bhayya) x2 Abbas dilawar aajawo
(Tha zainab-e-muztar ka nauha) x2 Abbas dilawar aajawo
- (Sayyedaniya ban me roti hai sadaat ke khayme jalte hai) x2 (Hay dasht-e-balaa me hashr bapa) x2 Abbas dilawar aajawo
(Tha zainab-e-muztar ka nauha) x2 Abbas dilawar aajawo
- (Masoom Sakina par zalim has has ke jafaaye karte hai) x2 (Marjaaye kahi na Masooma) x2 Abbas dilawar aajawo
(Tha zainab-e-muztar ka nauha) x2 Abbas dilawar aajawo
- (Kuch apni nahi hai fikr muje bimar ki halat basta hai) x2 (Abid ko bachaalo mere khuda) x2 Abbas dilawar aajawo
(Tha zainab-e-muztar ka nauha) x2 Abbas dilawar aajawo
- (Rota tha tarapta tha Gohar Abbas ka lasha sahil par) x2 (Jab aati thi Zainab ki sadaa) x2 Abbas dilawar aajawo