Kehti thi roke audio file

Kehti thi roke

zulm-o-sitam ki manzilen teker ke aayi hu, shikwa nahin hai koyi bhi lab per jawab do

(Kehti thi roke zainab-e-muztar jawaab do) x2

 1. Bhayya hussain aayi hai khwahar jawab do
 2. (Kehti thi roke zainab-e-muztar jawaab do) x2

 3. (Bhayya behn se ab to shikayat nahin koyi) x2 sar nange phir ke aayi hu dar dar jawab do
 4. (Kehti thi roke zainab-e-muztar jawaab do) x2

 5. (Aey pasban-e-ahl-e-haram peker-e-wafa) x2 Abbas dhondti hai ye khwahar jawab do
 6. (Kehti thi roke zainab-e-muztar jawaab do) x2

 7. (Maa se bichhar ke kaise tumhein nind aagayi) x2 roti hai maa faraq mein asgher jawab do
 8. (Kehti thi roke zainab-e-muztar jawaab do) x2

 9. (Sote ho tum to ay mere hum shakl-e-mustafa) x2 furqat mein beqarar hai madar jawab do
 10. (Kehti thi roke zainab-e-muztar jawaab do) x2

 11. (Puchhe padar to awn-o-mohammad kahu mein kya) x2 kehdo nisar ho gaye shehper jawab do
 12. (Kehti thi roke zainab-e-muztar jawaab do) x2

 13. (Shikwa liye jo lab pe behn aaye dhundti) x2 sughra se kya kahungi mein akber jawab do
 14. (Kehti thi roke zainab-e-muztar jawaab do) x2

 15. (Bhayya sakina mar gayi zindan-e-sham mein) x2 baar-e-alam liye hu ye dil per jawab do
 16. (Kehti thi roke zainab-e-muztar jawaab do) x2

 17. (Bhayya luta ye qafla lekar aseer-e-gham) x2 jaye madine abid-e-muztar jawab do
 18. (Kehti thi roke zainab-e-muztar jawaab do) x2

 19. (Tufan-e-jurm jor jo hum per guzar gaye) x2 nana ko sab bataon gi jaker jawab do
 20. (Kehti thi roke zainab-e-muztar jawaab do) x2

  10. (Hilta tha dasht nala-o-shiwan se ay shamim) x2 nouha kuhan thi zainab-e-muztar jawab do

  (Kehti thi roke zainab-e-muztar jawaab do) x2

 21. Bhayya hussain aayi hai khwahar jawab do

(Kehti thi roke zainab-e-muztar jawaab do) x2