Alwida alwida
Sajda-e-rab ki aey zeeb-o-zeen Alwida
Izat-e-deen shah-e-Mashriqeen Alwida
Aey jamal-e-roh-e-qiblatein Alwida
Alwida Alwida dil ke cheen Alwida
(Shaam jati hoon main aey hussain Alwida) x3
Shaam jati hoon main aey hussain Alwida
Rab-e-kaba ke sajda guzar Alwida
Sitwat-e-deen ke pasdaar alwida
Doosh-e-khatm-u-rusul ke sawar alwida
Shaam jati hoon main aey hussain Alwida
Waris-e-murtaza be watan Alwida
Taabad izat-e-panj-e-tan Alwida
Qatl geh se chali hai behen Alwida
Shaam jati hoon main aey hussain Alwida
Ser hain nezoon pe or un ke tan khak per
Lash-e-serwar bhi hai be kafan khak per
Chhorh ker main chali bankpan khak per
Shaam jati hoon main aey hussain Alwida
Haq pe kamil yaqein ka sila kerbala
Aaj be gor aur be kafan ho to kya
Kal yahan majmaye aashiqaan deekhna
Shaam jati hoon main aey hussain Alwida
Be rida bhi hoon or qayd bhi ho gayi
Kufa-o-shaam mein kerbla hai meri
Lo bahan imtihaan se guzar ne chali
Shaam jati hoon main aey hussain Alwida
Haal maqtal ka saara sunaoon gi main
Soorahein hain jo un ko Jagaoon gi main
Shaam se loot ker bhai aaoon gi main
Shaam jati hoon main aey hussain Alwida
Bint-e-zehra ki aayi sada marhaba
Khuld waloon mein bhi jis ka chercha hua
Jis pe her gher matam bapa ho gaya
Shaam jati hoon main aey hussain Alwida
Shaam jati hoon main aey hussain Alwida