Ik qaydi musafir
Jab baap ke laashe pe rukhsat ke liye aaya
Aankhoon se laho us ne is baat pe barsaya
Aay baba ye lachar pisar qedi bana hai
(Ik qaydi musafir shaam chala hai) x4
(Ik qaydi musafir shaam chala hai) x4
Dil thaam ke ammo se ye kehne laga ro ker
Lachar musafir pe aajab waqt parha hai
(Ik qaydi musafir shaam chala hai) x4
Ik zaqm bhi is dil ka bherna bhi nahi paya
Ab zakhm khayamat ka kaleje pe laga hai
(Ik qaydi musafir shaam chala hai) x4
Kerti hai yehi noha her bibi rasan basta
Mehmil na amaari hai na hodaj ka pata hai
(Ik qaydi musafir shaam chala hai) x4
Maan behenon ko be perda wo deekh na pae ga
Zainab ne kaha us ke liye ghum ye barha hai
(Ik qaydi musafir shaam chala hai) x4
Hain lakhoon tamashai kunba hai Muhammad ka
Kunba ye Muhammad ka masaib mein ghira hai
(Ik qaydi musafir shaam chala hai) x4
Is Ghum se na mer jae gherat ka khuda logoon
Har qeedi rasan basta yehi sooch raha hai
(Ik qaydi musafir shaam chala hai) x4
Mazhar bhi yehi likh ke kerta hai buka paihm
Wo syed-e-Sajjad hai or qedi bana hai
(Ik qaydi musafir shaam chala hai) x4