Qafla
(Lo chala zindaan ko bemaar le ke qafla) x2
(Alwida, alwida) x2 ki aa rahi hai lash-e-ghazi se sada
Lo chala zindaan ko bemaar le ke qafla
Majma-e-agyaar hain oor sar khule hain bebiyaan
(Haae kya ahl-e-haram) x2 par waqt hai mushkil parha
Lo chala zindaan ko bemaar le ke qafla
Bethne dete nahin zalim kahin bhi chhaoon mein
(Aable peroon mein kantoon) x2 se bhara hai raasta
Lo chala zindaan ko bemaar le ke qafla
Itni muhlat bhi nahin dete shaqi sajjad ko
(Dafn kerde lasha-e-Abbas) x2 ko zayn-ul-Aba
Lo chala zindaan ko bemaar le ke qafla
Gir gayi hai garm reti par sakina tishnakaam
(Aor neze par nahin) x2 rukta hai sar Abbas ka
Lo chala zindaan ko bemaar le ke qafla
Ro rahe hain mustafa firdoos mein shame jigar
(Dekh kar ahl-e-haram) x2 par kalma goyoon ki jafa
Lo chala zindaan ko bemaar le ke qafla
Lasha-e-abbas se nayab aati thi sada
(Jamere bimaar bete) x2 ja khuda hafiz tera
Lo chala zindaan ko bemaar le ke qafla) x2
(Alwida, alwida) x2 ki aa rahi hai lash-e-ghazi se sada