Sheh ne roker
Jab ho chuke Saheed sab ansaar-o-aqraba
Zahra ka lal narghaye aada mein tha ghira
Wa hasrataa ki aati aflaak se sada
(Sheh ne rooker kaha ho dileyro kahan) x2

Tum to labaik kehte the awaz per
Haye ye kya hoa ho dileyro kahan
(Sheh ne rooker kaha ho dileyro kahan) x2
Aey mere ba wafa tum aqamat kaho
Waqt hai asr ka ho dileyro kahan
(Sheh ne rooker kaha ho dileyro kahan) x2
Qabr-e-besheer khud banata hoon main
Aake do hosla ho dileyro kahan
(Sheh ne rooker kaha ho dileyro kahan) x2
Haal pocha hai usne main likhoon ga kya
Kuch to do mashwara ho dileyro kahan
(Sheh ne rooker kaha ho dileyro kahan) x2
Dasht mein sath hai saani-e-Fatima
Chin na jay-e-rida ho dileyro kahan
(Sheh ne rooker kaha ho dileyro kahan) x2
Kia sifarish pe zainab ki aaoge tum
kis ka doon waasta ho dileyro kahan
(Sheh ne rooker kaha ho dileyro kahan) x2
Uthoo tazeem ko mere sheroo utho
Angayein sayyada ho dileyro kahan
(Sheh ne rooker kaha ho dileyro kahan) x2
Jis ke abbas se dil ko tha aasra
Tanha wo reh gaya ho dileyro kahan
(Sheh ne rooker kaha ho dileyro kahan) x2
Kund khanjar jo sookhe gale per chala
Noha labpar ye tha ho dileyro kahan