Ya Rab
(Ya Rab Ya Rab) x2
Dar Karbala Aab-e-Rawan Zehmat-e-Jan Shud, Ya Rab Ya Rab, Dar Karbala Aab-e-Rawan Zehmat-e-Jan Shud
(Aankhon Mein Meri Kanta Sa Chubhta Hua Pani) x2
Kehta Hai Meray Khon Sa Ubalta Hua Pani
Ya Rab
Dar Karbala Aab-e-Rawan Zehmat-e-Jan Shud, Ya Rab Ya Rab, Dar Karbala Aab-e-Rawan Zehmat-e-Jan Shud
(Khoon Rulatay Hain Yeh Din Aal(a.s.)-e-Nabi Ko) x2
Milti Nahin Nehr Say Eik Boond Kisi Ko
Ya Rab
Dar Karbala Aab-e-Rawan Zehmat-e-Jan Shud, Ya Rab Ya Rab, Dar Karbala Aab-e-Rawan Zehmat-e-Jan Shud
(Le Aaonga Khaimon Ki Taraf Khainch Kay Dariya) x2
Lekin Meri Taqdeer Mein Hai Aur Kuch Likha
Ya Rab
Dar Karbala Aab-e-Rawan Zehmat-e-Jan Shud, Ya Rab Ya Rab, Dar Karbala Aab-e-Rawan Zehmat-e-Jan Shud
(Main Hon Alamdar(a.s.) Laqab Mera Jari(a.s.) Hai) x2
Piyasi Bhatiji(s.a.) Dar-e-Khaima Peh Kharhi Hai
Ya Rab
Dar Karbala Aab-e-Rawan Zehmat-e-Jan Shud, Ya Rab Ya Rab, Dar Karbala Aab-e-Rawan Zehmat-e-Jan Shud
(Lekin Tu Gawah Rehna Meray Lab Na Huey Tar) x2
Jana Hai Khaimon Ki Taraf Mashk Bachakar
Ya Rab
Dar Karbala Aab-e-Rawan Zehmat-e-Jan Shud, Ya Rab Ya Rab, Dar Karbala Aab-e-Rawan Zehmat-e-Jan Shud
(Be Taigh Yeh Qabza Jo Abhi Main Nay Kia Hai) x2
Seh Roz Say Ya Rab Tu Magar Dekh Raha Hai
Ya Rab
Dar Karbala Aab-e-Rawan Zehmat-e-Jan Shud, Ya Rab Ya Rab, Dar Karbala Aab-e-Rawan Zehmat-e-Jan Shud
(Sharmina Na Kar Bachchon Say Izzat Mujhay Deday) x2
Yeh Baat Na Dohraaon Woh Taqab Mujhay Deday
Ya Rab
Dar Karbala Aab-e-Rawan Zehmat-e-Jan Shud, Ya Rab Ya Rab, Dar Karbala Aab-e-Rawan Zehmat-e-Jan Shud
(Piyasay Ko Musafir Ko Satatay Nahin Dekha) x2
Ashkon Ko Lahoo Mein Nay Banatay Nahin Dekha
Ya Rab
Dar Karbala Aab-e-Rawan Zehmat-e-Jan Shud, Ya Rab Ya Rab, Dar Karbala Aab-e-Rawan Zehmat-e-Jan Shud
(Yaad Aati Hai Bachchon Ki Mujhay Tashna Dahani) x2
Dil Rota Hai Jab Sunta Hoon Bachchon Ki Zubani
Ya Rab
Dar Karbala Aab-e-Rawan Zehmat-e-Jan Shud, Ya Rab Ya Rab, Dar Karbala Aab-e-Rawan Zehmat-e-Jan Shud
(Soorat Kisi Piyasay Ko Dikhaeyga Na Abbas) x2
Baat Is Kay Siwa Lab Peh Nahin Laega Abbas(a.s.)
Ya Rab