- Chore ke ab ye karbobala, mei na watan ko jawungi
Zainabe muztar ki thi bukaa, mei na watan ko jawungi
- (Bhayi mere sote hai yaha jake karungi kya mei waha) x2 Socho tumhi ay zainul ibaa, mei na watan ko jawungi
Zainabe muztar ki thi bukaa, mei na watan ko jawungi
- (Bhayi ko kho ke ayi behen kaise sahungi mei ye sudhan) x2 Ayi thi jab mei shaan thi kya, mei na watan ko jawungi
Zainabe muztar ki thi bukaa, mei na watan ko jawungi
- (Sar khule darya darya gayi sham ke zindaano me rahi ) x2 Baaki to ab kuch bhi na raha, mei na watan ko jawungi
Zainabe muztar ki thi bukaa, mei na watan ko jawungi
- (Shaak rihaayi ka tha jise puchti thi jo har ik se) x2 Rehgayi qaid me wo tanha, mei na watan ko jawungi
Zainabe muztar ki thi bukaa, mei na watan ko jawungi
- (Jinse mera tha laho hasham wo na rahenge tuta sitam) x2 Dal ke sar par kali ridaa, mei na watan ko jawungi
Zainabe muztar ki thi bukaa, mei na watan ko jawungi
- (Akbaro qasim saath nahi aun hai na abbas-e-hazeen) x2 Qaise safar ye tai honga, mei na watan ko jawungi
Zainabe muztar ki thi bukaa, mei na watan ko jawungi
- (Puchlo layla se jaye bete se rukhsat wo aye) x2 Kabr pe wo karti hai bukaa, mei na watan ko jawungi
Zainabe muztar ki thi bukaa, mei na watan ko jawungi
- (Kehna na kuch bano se abhi bethi he wo turbat se laghi) x2 Kehti hai ab hongi na judaa, mei na watan ko jawungi
Zainabe muztar ki thi bukaa, mei na watan ko jawungi
- (Ankh se behta hai darya karti hai rozo shab ye bukaa) x2 Labpe anis he ye nawha, mei na watan ko jawungi