- Ghar Bar Huwa Qurbal Haey Haey Wawaila
Zehra Ka Ghar Weeran Haey Haey Wawaila
- Run Main Hain Shaheedon Kay Lashey Be Gor-O-Kafan, Ujra Hay Faqat Ek Roz Main Yeh Zehra Ka Chaman, Aulad-E-Ali Say Ghurbat Main Choota Hay Watan, Zainab Ki Buka Or Matam Say Rota Hay Ban, Ro Ro Kay Kahey Quran Haey Haey Wawaila
Zehra Ka Ghar Weeran Haey Haey Wawaila
- Ham Shakl-E-Nabi Kay Seeney Main Nezey Ki Ani, Shabbir Pay Peeri Main Kaisi Uftad Pari, Laila Ki Ummedain Toot Gaen Be Aas Hui, Sehra Na Bandha Akbar Kay Or Mehndi Na Lagi, Sab Khak Hoey Arman Haey Haey Wawaila
Zehra Ka Ghar Weeran Haey Haey Wawaila
- Saqqaey Haram Pani Kay Liey Darya Pay Gia, Mashkeeza Bhara Darya Say Sooey Khaima Jo Chala, Abbas Ko Fauj-E-Aada Nay Narghey Main Lia, Bazoo Bhi Qalam Ghazi Kay Hoey Mashkeeza Chhida, Piason Pay Hua Qurban Haey Haey Wawaila
Zehra Ka Ghar Weeran Haey Haey Wawaila
- Laakhon Hay Sitamgar Tanha Hay Zehra Ka Pisar, Koi Naheen Yawar Tanha Hay Zehra Ka Pisar, Hay Shimr Ka Khanjar Tanha Hay Zehra Ka Pisar, Abbas Na Akbar Tanha Hay Zehra Ka Pisar, Tanha Hay Shah-E-Zeeshan Haey Haey Wawaila
Zehra Ka Ghar Weeran Haey Haey Wawaila
- Barbad Hoi Yon Aal-E-Nabi Kuch Bhi Na Raha, Woh Ahl-E-Haram Ki Tashna Labi Or Aah-O-Buka, Naizey Pay Rakhey Hansta Tha Shaqi Woh Pak Rida, Rotey They Nabi Rotey They Ali Or Aal-E-Aba, Is Tarha Lutey Mehman Haey Haey Wawaila
Zehra Ka Ghar Weeran Haey Haey Wawaila
- Kuch Or Barhey Woh Zulm-O-Jafa Jab Sham Hui, Baqi Na Rahi Zainab Ki Rida Jab Sham Hui, Paband-E-Rasan Thi Aal-E-Aba Jab Sham Hui, Thi Nauha Kunan Ghurbat Pay Fiza Jab Sham Hui, Gham Barhtey Rahey Har Aan Haey Haey Wawaila
Zehra Ka Ghar Weeran Haey Haey Wawaila
- Woh Jaltey Hoey Khaimon Ka Dhuwan Haey Wawaila, Bachhi Ki Yateemi Aah-O-Fughan Haey Wawaila, Shadab Chaman Par Chaai Khizan Haey Wawaila, Faryad Bani Thi Gham Ki Azan Haey Wawaila, Thee Qaid Ghamon Main Jan Haey Haey Wawaila
Zehra Ka Ghar Weeran Haey Haey Wawaila
- Lashon Ki Tarha Say Dil Bhi Yahan Pamal Huey, Kartey They Haram Youn Aah-O-Fughan Be Hal Huey, Zindan-E-Sitam Sab Qaid Jahan Ek Saal Huey, Khak Or Khoon Say Aalood Sabhi Ke Baal Huey, Khud Kehney Laga Zindan Haey Haey Wawaila
Zehra Ka Ghar Weeran Haey Haey Wawaila
- Aankhon Say Rawan Hay Khoon Likhoun Main Kia Mazhar, Rukta Hi Naheen Yeh Behta Hua Darya Mazhar, Ek Din Main Merey Maula Ka Luta Kunba Mazhar, Safdar Nay Parha Jo Gham Say Bhara Nauha Mazhar, Yeh Dard Ka Hay Quran Haey Haey Wawaila