Zuljanah zuljanah audio file
Zuljanah zuljanah
Kushta-e-shamsheer-e-jafa, sibtey rasool-e-dosra, nala-o-faryad kunad fatima
(Zuljanah zuljanah hay mera bachha kahan) x3
Tujh say main kehti rahi hay yeh kamai meri
- Nala-o-faryad kunad fatima
(Zuljanah zuljanah hay mera bachha kahan) x2
- Jis kay liye khuld se aaye the kal payrahan (aaj mere laal ko mil naheen paya kafan) x2 Tujh say main kehti rahi hay yeh kamai meri, Nala-o-faryad kunad fatima
(Zuljanah zuljanah hay mera bachha kahan) x2
- Merey haseen laal kay halq pay khanjar chala (dasht ki jaanib use jis ghari ley kar chala) x2 tujh say main kehti rahi hay yeh kamai meri, Nala-o-faryad kunad fatima
(Zuljanah zuljanah hay mera bachha kahan) x2
- Pyaasa raha be khata laal mera dasht main (lashey uthata raha laal mer dasht main) x2 tujh say main kehti rahi hay yeh kamai meri, Nala-o-faryad kunad fatima
(Zuljanah zuljanah hay mera bachha kahan) x2
- Rukhsat-e-aakhir ka woh yad hey manzar mujhey (jaanib pe maktal barhaa jis ghari lekar usey) x2 tujh say main kehti rahi hay yeh kamai meri, Nala-o-faryad kunad fatima
(Zuljanah zuljanah hay mera bachha kahan) x2
- Taigh taley so chuka aaqa tera bey khata (asp-e-wafadar ab rota hay kyoon yeh bata) x2 tujh say main kehti rahi hay yeh kamai meri, Nala-o-faryad kunad fatima
(Zuljanah zuljanah hay mera bachha kahan) x2
- Jhoola jhulatey jisey khuld say aakar malak (us ki gharibi pay ab nala kunaa hay falak) x2 tujh say main kehti rahi hay yeh kamai meri, Nala-o-faryad kunad fatima
(Zuljanah zuljanah hay mera bachha kahan) x2
- Kya woh lab-e-alqama tashna dahan sogya (dhoond kay ladey mera laal kahan khogya) x2 tujh say main kehti rahi hay yeh kamai meri, Nala-o-faryad kunad fatima
(Zuljanah zuljanah hay mera bachha kahan) x2
- Pyasey pay ahl-e-jafa rahm nahee khayen gey (dasht-e-sitamgar main lay kay naheen jaa usey) x2 tujh say main kehti rahi hay yeh kamai meri, Nala-o-faryad kunad fatima
(Zuljanah zuljanah hay mera bachha kahan) x2
- Ghair kay ahl-e-sitam dasht main ley jaaen gey (laashaey mazloom pay ghoron ko doraengey) x2 tujh say main kehti rahi hay yeh kamai meri, Nala-o-faryad kunad fatima
(Zuljanah zuljanah hay mera bachha kahan) x2
- Khaak baney gi kafan aur lehad karbala (kund churi say gala katen gey ahl-e-jafa) x2 tujh say main kehti rahi hay yeh kamai meri, Nala-o-faryad kunad fatima
(Zuljanah zuljanah hay mera bachha kahan) x2
- Pala tha aghosh main phool ki tarha jisey (teeroon sey chalni kia teer-e-sitam ney usey) tujh say main kehti rahi hay yeh kamai meri, Nala-o-faryad kunad fatima
(Zuljanah zuljanah hay mera bachha kahan) x2
- Nala-o-faryad kunad fatima
(Zuljanah zuljanah hay mera bachha kahan) x2
(Tujh say main kehti rahi hay yeh kamai meri) x10
