Aai zainab ki sada
Ghar say jab behr-e-safar syed-e-aalam niklay
Sar chhupaaey huey ba deeda-e-pur nam niklay
Bandh kay bahar niklay
Rokay farmatay thay is shahr say ab ham niklay
Raat ye girya-e-zehra ki sada aati hay
Dekhay qismat hamain kis dasht main lejati hay
Ghar say jab behr-e-safar syed-e-aalam niklay
Aai zainab ki sada maan khuda hafiz nana khuda hafiz
Ek syed ka madinay say chala qafila
Aai zainab ki sada maan khuda hafiz nana khuda hafiz
Thaam kay qalb-e-jigar haaey karay ye buka
Deejeay mujh ko dua maan khuda hafiz nana khuda hafiz
(Aai zainab ki sada maan khuda hafiz nana khuda hafiz) x2
Baand kay sar say kafan niklay shah-e-karbala
Hay yahi lab pay sada maan khuda hafiz nana khuda hafiz
Aai zainab ki sada maan khuda hafiz nana khuda hafiz
Ho sitam laakh magar sar pay rahay ye rida
Bas yahi karna dua maan khuda hafiz nana khuda hafiz
(Aai zainab ki sada maan khuda hafiz nana khuda hafiz) x2
Bhaai kay baad to ban jaaeyga jeena saza
Na ho mujh par ye jafa maan khuda hafiz nana khuda hafiz
(Aai zainab ki sada maan khuda hafiz nana khuda hafiz) x2
Aap raazi rahain raazi rahay ham say khuda
Kuch naheen is kay siwa maan khuda hafiz nana khuda hafiz
(Aai zainab ki sada maan khuda hafiz nana khuda hafiz) x2
Hurmat-e-deen bachanay ko chala qafila
Janib-e-karb-o-bala maan khuda hafiz nana khuda hafiz
(Aai zainab ki sada maan khuda hafiz nana khuda hafiz) x2
Chhor kay ghar ko chaley ahl e haram be khata
Bhaai rota hay mera maan khuda hafiz nana khuda hafiz
(Aai zainab ki sada maan khuda hafiz nana khuda hafiz) x2
Haaey ummat nay dia kaisa ye hamko sila
Hogaey tum say juda maan khuda hafiz nana khuda hafiz
(Aai zainab ki sada maan khuda hafiz nana khuda hafiz) x2