Ab kya jiye Hussain audio file
Ab kya jiye Hussain
Amman amman amman amman
Karta tha ban main bayn
Zehra kay dil ka chayn
Sab qatl ho chukay hain
Maqtal main noor-e-ain
(Ab kya jiyey Hussain) x2
(Haaye lut gaya dil ka chain, Ab kya jiyey hussain) x3
Aey amman in aankhon nay maqtal main kia kia dekha
Ghazi kay dekhay shaaney akbar ka dekha laasha
Ghurbat main main nay dekha qasim ka bikhra sehra
(Haaye lut gaya dil ka chain, Ab kya jiyey hussain) x2
Aey amman meray ghar pay ye kaisi aafat aai
Roti hay dekho mujh par maqtal ki ye tanhaai
Na koi beta baqi na baqi koi bhaai
(Haaye lut gaya dil ka chain, Ab kya jiyey hussain) x2
Sehra main dekho amman laashay hain sab ka besar
Woh dekho hur ka laasha woh dekho laash-e-akbar
Chhoti si ek turbat main sota hay mera asghar
(Haaye lut gaya dil ka chain, Ab kya jiyey hussain) x2
Khaymon main jakar dekho apnay kunbay ka nauha
Woh chotay chotay bachay haathon main lekar kooza
Kartay hain jab wo nauha rota hay un par darya
(Haaye lut gaya dil ka chain, Ab kya jiyey hussain) x2
Kehta hay dil ye mera ajaaen baba haider
Piaasay ka hamla dekhain nana bhi meray aakar
Baqi bas ek sajda hay or woh bhi zair-e-khanjar
(Haaye lut gaya dil ka chain, Ab kya jiyey hussain) x2
"Safdar" jo meray maula kartay thay ban main nauha
Kaisay main likhoun haaey jab rowi bibi zehra
Zair-e-khanjar ye shah ka maqtal main nauha goonja
(Haaye lut gaya dil ka chain, Ab kya jiyey hussain) x2
Amman, amman