Aik taraf pyaason
Karbala nay baain kiyee wa musibata
Lut gaya meri zameen par qafila shabbir ka
Meray khuda aey meray khuda
Tu dekh zara ye zulm hay kaisa
(Aik taraf pyaason kay khaimey aik taraf behta hay darya) x3
Koi naheen maula ka sahaara
Jalti zameen par beth gaey hain
Dil ko naheen ab zabt ka yara
Meray khuda aey meray khuda tu dekh zara ye zulm hay kaisa
Aik taraf hay zulm ka lashkar aik taraf tanha hay piaasa
(Aik taraf pyaason kay khaimey aik taraf behta hay darya) x2
Kon hay jo imdaad ko aaey
Bint e ali ye dekh kay manzar
Peet kay sar kehti hain haaey
Meray khuda aey meray khuda tu dekh zara ye zulm hay kaisa
Aik taraf bhaai ki zaeefi aik taraf akbar ka laasha
(Aik taraf pyaason kay khaimey aik taraf behta hay darya) x2
Laashon say khata hay thokar
Kon sahara day piyaasay ko
Waqt e museebat hay bhaai par
Meray khuda aey meray khuda tu dekh zara ye zulm hay kaisa
Aik taraf abbas ki mayyat aik taraf qasim ka saraapa
(Aik taraf pyaason kay khaimey aik taraf behta hay darya) x2
Chalnay naheen deti hay naqahat
Beta gia beenaai sidhaari
Us pay sitam hay piaas ki shiddat
Meray khuda aey meray khuda tu dekh zara ye zulm hay kaisa
Aik taraf mazloom baradar aik taraf hay fauj e aada
(Aik taraf pyaason kay khaimey aik taraf behta hay darya) x2
Jis ka sukoon gham loot chukay hain
Jin say bari umeed bandhi thee
Un ka janazay ban main paray hain
Meray khuda aey meray khuda tu dekh zara ye zulm hay kaisa
Aik taraf ummat kay sitam hain aik taraf ahmed ka nawasa
(Aik taraf pyaason kay khaimey aik taraf behta hay darya) x2
Us kay lahoo ka dasht hay piaasa
Hain kitnay sangdil ye musalman
Rahm naheen khatay jo zara sa
Meray khuda aey meray khuda tu dekh zara ye zulm hay kaisa
Aik taraf hay sibt e payambar aik taraf be dard zamana
(Aik taraf pyaason kay khaimey aik taraf behta hay darya) x2
Ronay laga "safdar" bhi suna kay
Qalb tarap jata hay mera
Sun kay masaaib aal e aba kay
Meray khuda aey meray khuda tu dekh zara ye zulm hay kaisa
Aik taraf aulad e umayya aik taraf zehra ka piaara