Awaz mujhe do baba
(Tareek hay ye maqtal baba, Dhundu main kahan par laasha, Awaaz mujhay do baba) x3
Awaaz mujhay do baba, Tareek hay ye maqtal baba, Dhundu main kahan par laasha, Awaaz mujhay do baba
Aada say tamanchay khati houn
Laashon say ulajh kar maqtal main
(Uth ti houn kabhi gir jaati houn) x2
Tootay huey naizon par gir kar zakhmi hay badan ab saara
Awaaz mujhay do baba, Tareek hay ye maqtal baba, Dhundu main kahan par laasha, Awaaz mujhay do baba
Phoolon ki tarha rakha tum nay
Aaney na di mujh par garm hawa
(Ulfat ka kiya saaya tum nay) x2
Ab door watan say jangal main har zakhm jigar par khaya
Awaaz mujhay do baba, Tareek hay ye maqtal baba, Dhundu main kahan par laasha, Awaaz mujhay do baba
Seenay pay sulalo ay baba
Laasha hay kahan maqtal main tera
(Itna to batado ay baba) x2
Aaungi sada par main teri run main hay agar andhera
Awaaz mujhay do baba, Tareek hay ye maqtal baba, Dhundu main kahan par laasha, Awaaz mujhay do baba
Jo raah-e-najaf batla deta
Faryad main karti dada say
(Mujh ko jo koi pohncha deta) x2
Dekho ye ghareebi ka aalam dushman hay aaj zamana
Awaaz mujhay do baba, Tareek hay ye maqtal baba, Dhundu main kahan par laasha, Awaaz mujhay do baba
Ehsaas dilata hay mujh ko
Kaisa hay yateemon ka jeena
(Ye dard rulata hay mujh ko) x2
Kya tum ko bataaon ay baba hay gham ka tumhain andaaza
Awaaz mujhay do baba, Tareek hay ye maqtal baba, Dhundu main kahan par laasha, Awaaz mujhay do baba
Aaja aey meri dukhya aaja
Hai khoon say tar teeron say bhara
(Tu dekh zara seena mera) x2
Aaja meray seenay par soja maqtal main na kar ye nauha