Eik neze pe
Aap kehti thi ye manzar naheen dekha jata
(Bibian aaen khulay sar naheen dekha jata) x2
(Dekh kar zainab o kulsoom ko be chadar) x2
(Ek nezay pay sar-e-sayyeda-e-mazloom roya, Ek nezay say gira hazrat e abbas ka sar) x2
Ek hain sayyed-e-mazloom shah e karb o bala
Sabr kartay rahay har gaam pay dono hi magar
Seh naheen paaey kalejay pay ye gham ka lamha
(Aal e athaar jo dekha jo barehna sar) x2
(Ek nezay pay sar-e-sayyeda-e-mazloom roya, Ek nezay say gira hazrat e abbas ka sar) x2
Pusht zakhmi hui zakhmi tha jigar zainab ka
Log baghi ki behan keh kay bulatay thay usay
Qalb rota tha udhar sheh ka edhar zainab ka
(Haaey baalon ko giraya jonhi chehray par) x2
(Ek nezay pay sar-e-sayyeda-e-mazloom roya, Ek nezay say gira hazrat e abbas ka sar) x2
Haal us waqt ka sajjad say pooche to koi
Haath paband e rasan zakhmi jigar lab pay buka
Bain karti thi nabi zadiaan hanstay thay shaqi
(Nok e neza say chhini raah main jab chadar) x2
(Ek nezay pay sar-e-sayyeda-e-mazloom roya, Ek nezay say gira hazrat e abbas ka sar) x2
Tifl gir gir kay sidharay jo na seh paaey sitam
Raah main thak kay jo bethay to rasan kheenchi gai
Haaey aada nay aseeron pay bohat dhaaey sitam
(Shor utha jo sakina kay tamanchon par) x2
(Ek nezay pay sar-e-sayyeda-e-mazloom roya, Ek nezay say gira hazrat e abbas ka sar) x2
Haaey wo zakhm uthati thi jigar par zainab
Raah main mil na saka aik sukoon ka lamha
Hain sitam laakh magar ek dil e muztar zainab
(Nam shehzadi ka aya jo zabanon par) x2
(Ek nezay pay sar-e-sayyeda-e-mazloom roya, Ek nezay say gira hazrat e abbas ka sar) x2
Haakim e shaam ka paigham sitamgar laya
Kaash ajaaey qaza rokay kaha zainab nay
Meri bachhi ko kaneezi kay liyee bulwaya
(Ye sitam dekha jo masoom sakina par)
(Ek nezay pay sar-e-sayyeda-e-mazloom roya, Ek nezay say gira hazrat e abbas ka sar) x2
Jab ye darbaar main be deen sitamgar bola
Naam saadaat kay aey syed e sajjad bata
Kon hain zainab e dilgeer main dekhoun to zara
(Roey sajjad jo zaalim ka bayan sunkar) x2
(Ek nezay pay sar-e-sayyeda-e-mazloom roya, Ek nezay say gira hazrat e abbas ka sar) x2
Maaen behnain hon sar e raah khulay sar logo
Ye stiam raah main sehtay rahay sajjad magar
Lut gaya jis ka sar e dasht e bala ghar logo
(Haaey us say bhi na dekha ye gia manzar) x2
(Ek nezay pay sar-e-sayyeda-e-mazloom roya, Ek nezay say gira hazrat e abbas ka sar) x2
Kaisey likhay ye qalam shaam ka manzar haaey
Thi qyamat ki ghari ahl e haram pay "safdar"
Aaey jo majma e aada main khulay sar haaey