Mere maula Raza
Aey imam e Raza aap ko wasta aap ki dadi zahra (s.a.) Kay shikasta pehlou ka
Aey imam e Raza aap ko wasta aap ki khawahar bibi masooma e qum ka
Jo aap kay firaaq main dunya say guzar gaen
Aey farzand e rasool e khuda aap hamari sifarish karwaaen
Allah ki baargah main allah ki bargah main
Aey imam e raza aey imam e raza
(Meray mola raza meri sunlay sada, Teray dar pay gada hai ye sara jahan) x3 Shah-e-khurasan waris e quran markaz e imaan
Teray darbar main hota hay sawali ko yaqeen
Ab tu dikhadega koi mojiza
(Meray mola raza meri sunlay sada, Teray dar pay gada hai ye sara jahan) x2 Shah-e-khurasan waris e quran markaz e imaan
Teri dehleez pay jab aakay qadam us nay rakha
Mil gai beemar ko gham ki dawa
(Meray mola raza meri sunlay sada, Teray dar pay gada hai ye sara jahan) x2 Shah-e-khurasan waris e quran markaz e imaan
Kon aisa hay sakhi ibn-e-sakhi teray siwa
Kehtay hain tujh ko shah-e-uqda kusha
(Meray mola raza meri sunlay sada, Teray dar pay gada hai ye sara jahan) x2 Shah-e-khurasan waris e quran markaz e imaan
Jo teray dar say gaya jholiaan bhar bhar kay giya
Jab dia auqat say barh kar dia
(Meray mola raza meri sunlay sada, Teray dar pay gada hai ye sara jahan) x2 Shah-e-khurasan waris e quran markaz e imaan
Fatima zehra kay bachon ka azadar houn main
Day mujhay hasnain ka sadqa zara
(Meray mola raza meri sunlay sada, Teray dar pay gada hai ye sara jahan) x2 Shah-e-khurasan waris e quran markaz e imaan
Dekh ye dast-e-talab dekh ye sajday main jabeen
Sunlay azadaron kay dil ki dua
(Meray mola raza meri sunlay sada, Teray dar pay gada hai ye sara jahan) x2 Shah-e-khurasan waris e quran markaz e imaan
Woh naheen aya kabhi laut kay khali maula
Jo bhi mila bas teray dar say mila
(Meray mola raza meri sunlay sada, Teray dar pay gada hai ye sara jahan) x2 Shah-e-khurasan waris e quran markaz e imaan
Waris-e-ilm e nabi waris-e-quran bhi hay
Ilm o hunar tu hamain karday ata
(Meray mola raza meri sunlay sada, Teray dar pay gada hai ye sara jahan) x2 Shah-e-khurasan waris e quran markaz e imaan
Wasta aap ko hay aal-e-aba ka maula
Ranj say mehfooz rahe ghar mera
(Meray mola raza meri sunlay sada, Teray dar pay gada hai ye sara jahan) x2 Shah-e-khurasan waris e quran markaz e imaan
Aaey har ek dar-o-deewar say matam ki sada
Wasta tujh ko shah-e-mazloom ka
(Meray mola raza meri sunlay sada, Teray dar pay gada hai ye sara jahan) x2 Shah-e-khurasan waris e quran markaz e imaan
Sar khulay aal-e-nabi roti rahi thaam-e-jigar
Behr-e-aseeran-e-bala sun dua
(Meray mola raza meri sunlay sada, Teray dar pay gada hai ye sara jahan) x2 Shah-e-khurasan waris e quran markaz e imaan
Mera marna ho aza or mera jeena ho aza
Karta rahoon ajr-e-risalat ada
(Meray mola raza meri sunlay sada, Teray dar pay gada hai ye sara jahan) x2 Shah-e-khurasan waris e quran markaz e imaan
Ya abal hassan, ya Ali ibn-e-Musa, ayyuhar-riza yabn-e-rasoolillah, ya hujjatallahi ala khalqi, ya sayyedana wa mawlana, inna tawaj-jahna was tash fa'na wa ta was-sal na bika ilallah, wa qaddamna kabayna yadaay haajatina