Darya hai hamara
Lo baandh chuka mashk ko (parcham say alamdar) x3
Darya ki taraf dekha barhay (ghaiz say ek baar) x3
Taaweez sakina ki (duaaon ka utha kay) x3
Zainab say kaha bandh dain (bazoo pay hamaray) x3
Is shaan say nikla suey darya woh wafadar
Ek shor utha aya shah-e-deen ka alamdaar
Abbas nay ye keh kay laeenon ko pukara
(Darya hay hamara) x3
Abbas nay ye keh kay laeenon ko pukara
(Darya hay hamara) x2
(Le jaaen gey paani) x2
Ham haider-e-karrar kay kehlatay hain saani
Bus keh dia ham agaye ab chhoro kinara
(Darya hay hamara) x2
Abbas nay ye keh kay laeenon ko pukara
(Darya hay hamara) x2
(Lo raasta roko) x2
Be taigh hi larnay kay liye aatay hain dekho
Hat tay ho kay siffeen ka dikhlaaen nazara
(Darya hay hamara) x2
Abbas nay ye keh kay laeenon ko pukara
(Darya hay hamara) x2
(Is aab-e-rawaan kay) x2
Ham maalik o mukhtar hain is kaun o makaan kay
Ye khaam khyaali hay kay darya hay tumhaara
(Darya hay hamara) x2
Abbas nay ye keh kay laeenon ko pukara
(Darya hay hamara) x2
(Pyaason ka bharam hain) x2
Ham bazoo e shabbir hay saqqaaey haram hain
Shahid hay isi baat pay ye dasht bhi saara
(Darya hay hamara) x2
Abbas nay ye keh kay laeenon ko pukara
(Darya hay hamara) x2
(Hay saansh hamaari) x2
Hay dukhta-e-shabbir hamain jaan say pyaari
Keh kar yahi aaey thay karo zabt ka yara
(Darya hay hamara) x2
Abbas nay ye keh kay laeenon ko pukara
(Darya hay hamara) x2
(Darya say to poocho) x2
Pehray jo bithhaey hain bohat naaz hay tum ko
Khud ko tum ko bataey ga ye darya ka kinaara
(Darya hay hamara) x2
Abbas nay ye keh kay laeenon ko pukara
(Darya hay hamara) x2
(Deti houn duhaai) x2
Shabbir say kehti thee yahi fatima jaai
Ye keh kay alamdar ko bulwaao khudara
(Darya hay hamara) x2
Abbas nay ye keh kay laeenon ko pukara
(Darya hay hamara) x2
(Aajaaey ga paani) x2
Bachhon ko sakina yahi deti thi tasalli
Pyaason ko isi baat say milta tha sahara
(Darya hay hamara) x2
Abbas nay ye keh kay laeenon ko pukara
(Darya hay hamara) x2
(Lekin ye yaqeen hay) x2
Kuch gham na karo khaimon main paani jo nahi hay
Abbas ko ye keh kay shah-e-deen nay pukaara
(Darya hay hamara) x2
Abbas nay ye keh kay laeenon ko pukara
(Darya hay hamara) x2
(Ye bhi hay nishaani) x2
Abbas ki marqad kay jo atraaf hay paani
Goya kay alamdar ye karta hay ishaara
(Darya hay hamara) x2
Abbas nay ye keh kay laeenon ko pukara
(Darya hay hamara) x2
(Kehta hay ye "safdar") x2
Abbas kay qabzay main hay darya o samandar
Phir kioon na azaar lagaaen yahi naara
Ya abbas ya abbas