Ek diya jala
Qaid khanay say riha hokar chaleen umm e rabab
Aur dar-e-zindan pay aakar karti theen aah o buka
Sham walo sham walo
Marqad-e-sakina per ek dia jala dena
(Aai hay is ko qaza qaid main rotay huey) x2
Sham walo sham walo
Meray zaairon ko tum baat ye bata dena
Marqad-e-sakina per ek dia jala dena
Sham walo sham walo
(So na saki khauf say khauf say na rosaki) x2
Sham walo sham walo
Sabr ka sakina ko is tarha sila dena
Marqad-e-sakina per ek dia jala dena
Sham walo sham walo
(Durray lagaaey kabhi di hain kabi ghurkian) x2
Sham walo sham walo
Phir bhi meri bachhi ka kaam tha dua dena
Marqad-e-sakina per ek dia jala dena
Sham walo sham walo
(Darti hay bachhi meri shimr ki parchaen say) x2
Sham walo sham walo
Shimr ko sakina ki qabr say hata dena
Marqad-e-sakina per ek dia jala dena
Sham walo sham walo
(Shah ki mazloomi ka nauha sunana isay) x2
Sham walo sham walo
Tum hi meri bachhi kay zakhmon ki dawa dena
Marqad-e-sakina per ek dia jala dena
Sham walo sham walo
(Logo duaaen tumhain dain gey risaalat mu aab) x2
Sham walo sham walo
Chaand ho muharram ka farsh-e-gham bichha dena
Marqad-e-sakina per ek dia jala dena
Sham walo sham walo