Hind qafila who aagaya audio file
Hind qafila woh aagaya
(Hind qafila woh aagaya) x4
Lut gaya jo sar e dasht-e-nainwa
Karbala say suey shaam jo chala
(Hind qafila woh aagaya) x2
Jis ka bhaai hay khuld ka ameer
Ghar ujar gaya dar badar phiri
Waqt nay mujhay kardia faqeer
Lut gaya jo sar e dasht-e-nainwa
Karbala say suey shaam jo chala
(Hind qafila woh aagaya) x2
Choom kar kaha kartay thay yahi
Hay asaas-e-deen bus yahi gala
Us pay chal gai dasht main chhuri
Lut gaya jo sar e dasht-e-nainwa
Karbala say suey shaam jo chala
(Hind qafila woh aagaya) x2
Zakhmi kargai jis ko reesman
Jab say woh hui baap say juda
Lab pay bain hain haaey baba jaan
Lut gaya jo sar e dasht-e-nainwa
Karbala say suey shaam jo chala
(Hind qafila woh aagaya) x2
Jin pay hota tha nana ka gumaan
Jis kay lab pay hay haaey akbara
Woh zaeefa hay us jawaan ki maan
Lut gaya jo sar e dasht-e-nainwa
Karbala say suey shaam jo chala
(Hind qafila woh aagaya) x2
Us ghareeb ko bairian mileen
Be rida hui aal-e-mustafa
Ye azziatain us ko kha gaen
Lut gaya jo sar e dasht-e-nainwa
Karbala say suey shaam jo chala
(Hind qafila woh aagaya) x2
Qatl ho chuka jis ka gulbadan
Kis tarha usay doon tasallian
Zinda laash hay haan woh pur mahan
Lut gaya jo sar e dasht-e-nainwa
Karbala say suey shaam jo chala
(Hind qafila woh aagaya) x2
Aaqa zaadion baksh do mujhay
Ab to umr bhar kaam hay mera
Roti jaaongi main ye soch kay
Lut gaya jo sar e dasht-e-nainwa
Karbala say suey shaam jo chala
(Hind qafila woh aagaya) x2
Koi kis tarha say bayan karay
Kis tarha likhay "mazhar"-e-hazeen
Bint-e-sayyda kay jo bain thay
Lut gaya jo sar e dasht-e-nainwa
Karbala say suey shaam jo chala
(Hind qafila woh aagaya) x2