Jeeo hussainiyo
Aey azadaro ye safdar ka hay pegham suno
Meri awaaz main awaaz mila kar ye kaho
Parcham-e-haq na jhukay ghar rahay ya kay lutay
Sar rahay ya na rahay majlis-e-gham na rukay
Maqsad-e-hazrat e shabbir zamanay say kahain gey
Duaain day rahi hain khuld main janab-e-sayyeda
(Jeo hussainio) x5
(Jeo hussainio) x5
Farshe gham bichhaaen gey
(Karbala ko yaad karain gey) x2
(Jeo hussainio) x2
(Ham jahan bhi jaaen gey) x2
Farshe gham bichhaaen gey
Karbala ki baat karenge, Karbala ko yaad karain gey
(Jeo hussainio) x2
Karbala nay zinda rehnay ka hunar sikha dia
Karbala nay maqsad-e-hayaat bhi batadia
Karbala nay zulm kay charagh ko bujha dia
(Ham jahan bhi jaaen gey) x2
Charaagh-e-haq jalaaen gey
Karbala ki baat karain gay
karbala ko yaad karain gey
(Jeo hussainio) x2
(Ham jahan bhi jaaen gey) x2
Farshe gham bichhaaen gey
Karbala ki baat karenge, Karbala ko yaad karain gey
(Jeo hussainio) x2
Karbala hayaat baantay jaarahi aaj bhi
Karbala yazeediat mita rahi hay aaj bhi
Karbala payaam e haq suna rahi aaj bhi
(Ham jahan bhi jaaen gey) x2
Payam-e-haq sunaaen gey
Karbala ki baat karain gay
karbala ko yaad karain gey
(Jeo hussainio) x2
(Ham jahan bhi jaaen gey) x2
Farshe gham bichhaaen gey
Karbala ki baat karenge, Karbala ko yaad karain gey
(Jeo hussainio) x2
Karbala kay dars main hayaat hi hayaat hay
Karbala ka raasta gunaah say nijaat hay
Karbala kay zikr main hussainiat ki baat hay
(Ham jahan bhi jaaen gey) x2
Hussainat jagaaen gey
Karbala ki baat karain gay
karbala ko yaad karain gey
(Jeo hussainio) x2
(Ham jahan bhi jaaen gey) x2
Farshe gham bichhaaen gey
Karbala ki baat karenge, Karbala ko yaad karain gey
(Jeo hussainio) x2
Karbala nay hur ko baksh di hayaat-e-daaimi
Karbala habeeb ko sikha gai hay dosti
Karbala kay saamnay na taaj hay na khusrawi
(Ham jahan bhi jaaen gey) x2
Zulm ko jhukaaen gey
Karbala ki baat karain gay
karbala ko yaad karain gey
(Jeo hussainio) x2
(Ham jahan bhi jaaen gey) x2
Farshe gham bichhaaen gey
Karbala ki baat karenge, Karbala ko yaad karain gey
(Jeo hussainio) x2
Na koi namaaz reh gai na kalma reh gia
Karbala nay deen ko shabab is tarha dia
Ab koi yazeed deen ko mita na paaey ga
(Ham jahan bhi jaaen gey) x2
Yazeediat mitaaen gey
Karbala ki baat karain gay
karbala ko yaad karain gey
(Jeo hussainio) x2
(Ham jahan bhi jaaen gey) x2
Farshe gham bichhaaen gey
Karbala ki baat karenge, Karbala ko yaad karain gey
(Jeo hussainio) x2
Karbala ka zikr tab talak hay jab talak khuda
Karbala ko aaj bhi hay zulmaton say maarka
Karbala ki aandhion nay qasr-e-zulm dhaadia
(Ham jahan bhi jaaen gey) x2
Qasr-e-zulm dhaaen gey
Karbala ki baat karain gay
karbala ko yaad karain gey
(Jeo hussainio) x2
(Ham jahan bhi jaaen gey) x2
Farshe gham bichhaaen gey
Karbala ki baat karenge, Karbala ko yaad karain gey
(Jeo hussainio) x2
Karbala hussain kay lahoo say ban gai shifa
Karbala main jazb hogia hay khoon-e-sayyda
Karbala hussainio ko day rahi hay hausla
(Ham jahan bhi jaaen gey) x2
Hausley barhaaen gey
Karbala ki baat karain gay
karbala ko yaad karain gey
(Jeo hussainio) x2
(Ham jahan bhi jaaen gey) x2
Farshe gham bichhaaen gey
Karbala ki baat karenge, Karbala ko yaad karain gey
(Jeo hussainio) x2
Karbala main lut gai kamaai sab batool ki
Karbala ki har jafa hussain nay qubool ki
Karbala to zindagi hay deen kay usool ki
(Ham jahan bhi jaaen gey) x2
Usool-e-deen bachaaen gey
Karbala ki baat karain gay
karbala ko yaad karain gey
(Jeo hussainio) x2
(Ham jahan bhi jaaen gey) x2
Farshe gham bichhaaen gey
Karbala ki baat karenge, Karbala ko yaad karain gey
(Jeo hussainio) x2
Haq jagaaey ga jahan main dasta-e-muhammadi
"Mazhar"-e-hazeen payaam day raha hay har ghari
Ye sukhan waron pay qarz bhi hay or farz bhi
(Ham jahan bhi jaaen gey) x2
Farz ye nibhaaen gey
Karbala ki baat karain gay
karbala ko yaad karain gey
(Jeo hussainio) x2
(Ham jahan bhi jaaen gey) x2
Farshe gham bichhaaen gey
Karbala ki baat karenge, Karbala ko yaad karain gey
(Jeo hussainio) x2