Mango duaaen
(Jis dar say khali koi na aaya) x2
(Jis dar pay nabion nay sar ko jhukaaya) x2
Saaray jahan main ye dar hay aisa
Ahl-e-aza mil kay maango duaaen
(Maango duaaen maango duaaen Darbaar hay bint-e-khair un nisa ka) x2
Tha koi pehlay na ab hay na hoga
Qudsi bhi is dar pay kartay hain sajda
Khaati hay dunya isi dar ka sadqa
Quraan main hukm hay kibrya ka
(Maango duaaen maango duaaen Darbaar hay bint-e-khair un nisa ka) x2
Muflis ko ye dar tawangar bana day
Qatray ko ye dar samandar bana day
Behtar ko behtar say behtar bana day
Ye dar barhata hay rutba dua ka
(Maango duaaen maango duaaen Darbaar hay bint-e-khair un nisa ka) x2
Ye dar to afzal hay kon o makaan say
Walion ko mansab milay hain kahan say
Ye baat poocho zameen aasmaan say
Ye dar waseel hay rab ki ata ka
(Maango duaaen maango duaaen Darbaar hay bint-e-khair un nisa ka) x2
Day day rihaai aseeron ko ye dar
Day aasra dastageeron ko ye dar
Paaley jahan kay amiron ko ye dar
Samjo kay darbaar hay ye khuda ka
(Maango duaaen maango duaaen Darbaar hay bint-e-khair un nisa ka) x2
Ghazi kay dast-e-bureeda ka sadqa
Beemar o be kas maseeha ka sadqa
Qasim ka akbar ka sughra ka sadqa
Gar chahtay ho safar karbala ka
(Maango duaaen maango duaaen Darbaar hay bint-e-khair un nisa ka) x2
Is dar say milta hay piason ka sadqa
Sookhay huey chand koozon ka sadqa
Tashna dahan or aseeron ka sadqa
Rakhna dua main waseela rida ka
(Maango duaaen maango duaaen Darbaar hay bint-e-khair un nisa ka) x2
Sajday isi dar pay karta hay jaakar
Saarey malangon ka kaaba hay ye dar
Sar ko jhukaatay hain saarey hi qalandar
Ye dar samandar hay jood o sakha ka
(Maango duaaen maango duaaen Darbaar hay bint-e-khair un nisa ka) x2