Tera deys
Chala jo shaam kay zindaan say qafila sheh ka
Pohanch kay maqtal-e-shabbir pay kia nauha
Ali ki beti nay bhaai ki qabr pay ye kaha
Ujar kay jaatay hain nana kay shahr aey bhayya
Nazar jo fizza ko aya rasool ka rauza
Lipat kay saani-e-zehra say ro pari fizza
Fizza nay kaha shehzaadi
Le dekhle zara tera deys agaya
(Fizza nay kaha shehzaadi, Le dekhle zara tera deys agaya) x2
Le dekhle zara tera deys agaya
Fizza nay kaha shehzaadi, Le dekhle zara tera deys agaya
Har zakhm dikha maan zehra ko har baat bata syed zaadi
Zakhmon ka milay ga marham ji khol kay karna matam
Le dekhle zara tera deys agaya
Fizza nay kaha shehzaadi, Le dekhle zara tera deys agaya
Kia beet gai teray dil per kis gham main zaeefi chhaai hay
Jab qabr-e-nabi par jaana woh dard unhain batlaana
Le dekhle zara tera deys agaya
Fizza nay kaha shehzaadi, Le dekhle zara tera deys agaya
Kia tujh pay qiaamat guzri thi jab qatl tera abbas hua
Jab aaey maan ghaazi ki rudaad sunana bibi
Le dekhle zara tera deys agaya
Fizza nay kaha shehzaadi, Le dekhle zara tera deys agaya
Us laal ka jab laasha aya us waqt teri kia halat thi
Rudaad jo poochay sughra khamosh na tu hojaana
Le dekhle zara tera deys agaya
Fizza nay kaha shehzaadi, Le dekhle zara tera deys agaya
Kia haal hua tha baano ka roi jo lipat kar jhoolay say
Us kokh jali kay sadmay amman ko sunana rokay
Le dekhle zara tera deys agaya
Fizza nay kaha shehzaadi, Le dekhle zara tera deys agaya
Karlena shumaar un zakhmon ka jo saath watan tak aaen hain
Har zakhm dikhaana bibi ab mat ghabraana bibi
Le dekhle zara tera deys agaya
Fizza nay kaha shehzaadi, Le dekhle zara tera deys agaya
Tujh par to zaeefi chhai thi pehchana tujhay us nay kaisay
Har dard bata shahzaadi ahwaal suna shahzaadi
Le dekhle zara tera deys agaya
Fizza nay kaha shehzaadi, Le dekhle zara tera deys agaya
Ab shimr-e-laeen ka khauf nahi hay teray mohibbon ki basti
Ab kon kahay ga qaidi nazron ko utha aey bibi
Le dekhle zara tera deys agaya
Fizza nay kaha shehzaadi, Le dekhle zara tera deys agaya