Wapas
na jaunga
Abbas Abbas
Abbas bole kaise mai wada nibhaonga
piyason ko teen roz
ke kia moo dikhaunga
Wapas
na jaunga,
wapas na jaunga
1. Pewast teer ankh mei seena figaar
hai
Panja mere alam ka bhi matam guzaar
hai
Baazu juda hain mashq ye kaise
uthaunga
Wapas
na jaunga
2. Koshish ke bawajud bhi koshish
hai raaega
Pani nahi
baha ye gira mujh pe aasma
Ab kaise mai Sakina se nazreh
milaunga
Wapas
na jaunga
3. Hukm-e-Hussain ne mujhe paband kardia
Rasta digah ka mere liye band kardia
Ye baat tashna kaamon
ko kaise
bataunga
Wapas
na jaunga
4. Gham tou yehi hai gham
bhi uthaya nahi gaya
Hamsheer gham uthayegi aur mai
nahi raha
Sharmindagi ka teer kaleje pe khaunga
Wapas na jaunga
5. Aaqa se koi keh de karam itna
kijiyeh
Laasha mera khayam mai le kar
na jayeh
Le jayeh alam mera
mai tou na jaunga
Wapas
na jaunga
6. Mujh baawafa se nehr ne kyu bewafai
ki
Kimat hamare bhai ne di thi
tarai ki
Mujh ko
khabar na thi ke mai
khoo mai nahaunga
Wapas
na jaunga
7. Ye kehte kehte shair ko
hichki jo aagayi
Gham se kamar Hussain ki Rehan
kham hui
Bole Hussain tere bina
jee na
paunga
Wapas
na Jaunga