Baad-e-qatl-e-shahedeen audio file
Baad-e-qatl-e-shahedeen
Baad-e-qatl-e-shahedeen shaam-e-ghareeban aai
Rokay faryaad Sakina kay
laboon par aai
(Aye amman) x2 mujhay neend nahin
aati
main khaak pay sojati
par baba ki furqat
mujhay tarpaey
(Aye amman) x2 mujhay neend nahin
aati
main khaak pay sojati
par baba ki furqat
mujhay tarpaey
1.
faryaad karoon
haaey
baba ki jo yaad aaey
aey amman yeh ghum bhool nahi
paati
par baba ki furqat mujhay tarpaey
2.
yeh daagh-e-yateemi bhi
kia kam hai
saza amman
pardes mein kia meray daman mein bacha amman
Ay amma(n), phatta hai
jigar mera
haey lut gaya ghar mera
Aey Amman main yeh ashk
na barsati
Main khaak pay sojati
par baba ki furqat mujhay tarpaey
(Aye amman) x2 mujhay neend nahin
aati
main khaak pay sojati
par baba ki furqat
mujhay tarpaey
3.
socha bhi na tha mainay baba pay chalay khanjar
qurbaan main hojati baba ki ghareebi par
yeh baat rulati hai
ghum aur barhati hai
Aey Amman yeh ghum kisko main batlati
Main khaak pay sojati
par baba ki furqat mujhay tarpaey
(Aye amman) x2 mujhay neend nahin
aati
main khaak pay sojati
par baba ki furqat
mujhay tarpaey
4.
is haal
mein tha haaey lasha meray baba
ka
daikha jo saray maqtal teroon say bhara cina
kis tarhan bhuloon
main
ghum dil say lagoon main
Aey Amman yeh dunya nahin bhati
Main khaak pay sojati
par baba ki furqat mujhay tarpaey
(Aye amman) x2 mujhay neend nahin
aati
main khaak pay sojati
par baba ki furqat
mujhay tarpaey
5.
dunya mein sitam aisa hota hai
kahin amman
kartein hain laeen hum par
tang zamin amman
khaimo ko jalatay hain
qaedi bhi banatay hain
Aye amman main hargiz nahin ghabrati
Main khaak pay sojati
par baba ki furqat mujhay tarpaey
(Aye amman) x2 mujhay neend nahin
aati
main khaak pay sojati
par baba ki furqat
mujhay tarpaey
6.
baba say kia wada is tarhan nibhati hoon
main sabr bhi karti hoon sadmay
bhi uthati hoon
baba ki judaai ka
sadma hai bohat gehra
Aey Amman tamachay main yoon
hi khati
Main khaak pay sojati
par baba ki furqat mujhay tarpaey
(Aye amman) x2 mujhay neend nahin
aati
main khaak pay sojati
par baba ki furqat
mujhay tarpaey
7.
hai mujhko khabar amman nazo ki
palli hoon main
paband-e-rasan qaedi ab bankay chali hoon
main
bedard zamana hai
zindaan thikana hai
Aey Amman gila lab pay nahin laati
Main khaak pay sojati
par baba ki furqat mujhay tarpaey
(Aye amman) x2 mujhay neend nahin
aati
main khaak pay sojati
par baba ki furqat
mujhay tarpaey
8.
baba to mujhay apnay cinay pay sulatay thay
alaam o masaib kay saaey say bachatay thay
ab kia main karoon haey
kaisay main jeeon haey
Aey amman magar dil ko
main bhelati
Main khaak pay sojati
par baba ki furqat mujhay tarpaey
(Aye amman) x2 mujhay neend nahin
aati
main khaak pay sojati
par baba ki furqat
mujhay tarpaey
9.
maloom hai
sab mujhko kia gham abhi
sehna hai
bazaar mein jana hai zindaan mein
rehna hai
qismat mein to rona hai
ab khaak bichona hai
Aey amman main khud ko yuhin
samjhati
Main khaak pay sojati
par baba ki furqat mujhay tarpaey
(Aye amman) x2 mujhay neend nahin
aati
main khaak pay sojati
par baba ki furqat
mujhay tarpaey
10.
yeh bain Sakina kay qirtaas pay kia laaon
karta hoon duaa Safdar is ghum say main marjaoon
Faryaad Sakina ki
Ta marg rahay jaari
Aey Amman mujhay neend
nahin aati
Main khaak pay sojati
Par baba ki furqat mujhay tarpaey
(Aye amman) x2 mujhay neend nahin
aati
main khaak pay sojati
par baba ki furqat
mujhay tarpaey