Bazaar saja
hai
(Bazaar-e-shaam, Darbaar-e-shaam, Bazaar-e-shaam, Darbaar-e-shaam) x4
(Haey Haey Zainab Haey
Haey Shaam) x2
Bazaar Saja hai aur Zainab bechadar
(Haey Haey Zainab Haey
Haey Shaam) x2
1. Rahon mein log sharabi aur
bint-e-Ali faryadi
Ik chadar mangarahi hai ummat say syed zaadi
Aur log tamashi aaey hain bankar
(Haey Haey Zainab Haey
Haey Shaam) x2
Bazaar Saja hai
aur Zainab bechadar
Haey Haey Zainab Haey Haey
Shaam
2. Har soo napaak nigahein aur
aal-e-nabi ki aahein
Sang baari karnay aaey sab log sajakar rahein
Is ghum say haram hain cina zan
Noha gar
(Haey Haey Zainab Haey
Haey Shaam) x2
Bazaar Saja hai
aur Zainab bechadar
Haey Haey Zainab Haey Haey
Shaam
3. Yeh kaisi qayamat aai taqdeer kahan par laai
Har zakhm saha hai dil par har chot jigar par khaai
Yeh shaam ki galiyan kehtin hain ro ro
kar
(Haey Haey Zainab Haey
Haey Shaam) x2
Bazaar Saja hai
aur Zainab bechadar
Haey Haey Zainab Haey Haey
Shaam
4. Abbas ki khuwahar Zainab haey binte
haider Zainab
Baalon say chupakar chehra
phirti hai dar dar Zainab
Hai kaisa qayamat ka
logon, yeh manzar
(Haey Haey Zainab Haey
Haey Shaam) x2
Bazaar Saja hai
aur Zainab bechadar
Haey Haey Zainab Haey Haey
Shaam
5. Jis ghar say pardadaari
ki rasm hui
thi jaari
Beparda daikhnay unko aai hai duniya
saari
Zainab kay kalajay par chaltay, hain khanjar
(Haey Haey Zainab Haey
Haey Shaam) x2
Bazaar Saja hai
aur Zainab bechadar
Haey Haey Zainab Haey Haey
Shaam
6. Yeh Zulm bhi kaisa dhaya darbar-e-shaam sajaya
Haathon say ishara karkay bibi ka naam bataya
Girta tha wahan bemar mera, ghash
khakar
(Haey Haey Zainab Haey
Haey Shaam) x2
Bazaar Saja hai
aur Zainab bechadar
Haey Haey Zainab Haey Haey
Shaam
7. Tha bojh yeh dil bhari thay
askh lahoo kay jaari
Sochay tatheer ki waris kaisay ho pardadari
Tay karma hai ab bin chadar, aur safar
(Haey Haey Zainab Haey
Haey Shaam) x2
Bazaar Saja hai
aur Zainab bechadar
Haey Haey Zainab Haey Haey
Shaam
8. Zainab ka dard uthana do zakhm jigar par khana
Bhai kay halq pay khanjar aur shaam
say hokar jaana
Haey bhool nay paaey gi zainab, yeh
manzar
(Haey Haey Zainab Haey
Haey Shaam) x2
Bazaar Saja hai
aur Zainab bechadar
Haey Haey Zainab Haey Haey
Shaam
9. Safdar-o-Hashim daikho qitraas o qalam rota hai
Yeh ajr e risalat daikho ummat say jo paya hai
Zehra ki baiti roti hai, nangay
sar
(Haey Haey Zainab Haey
Haey Shaam) x2
Bazaar Saja hai
aur Zainab bechadar
Haey Haey Zainab Haey Haey
Shaam