Haye mei
kya karu
Beta Shaheed-e-Zulm hai, Beti aseer-e-Gham
Ik maan ke dilpe hai
yahi sab se bara sitam
Hokar aseer jab chali ZAINAB jigar figaar
Ye sochti thi madar-e-SHABEER bar bar
Haey main karoon,
Haey Main kia karoon (x2)
1. ZAINAB ke saath saath suey
Shaam jaoon main (x2)
Ya Lasha-e-HUSSAIN pay
(x2)
Aansoon bahaoon main
Haey main karoon,
Haey Main kia karoon (x4)
2. ZAINAB hai us taraf ke jo
hai meray dil ka chain
Aur is taraf hai mera vohi
ladla HUSSAIN
Banday kafan bhi khol kay
jis ko
kiya tha pyaar
Haey main karoon,
Haey Main kia karoon (x4)
3. Ye aasman kyion na zameen
main simat gaya
Baychain houn ke dil mera
tukro mein bat gaya
Beti hai be dayaar to beta hai be mazaaar
Haey main karoon,
Haey Main kia karoon (x4)
4. Betay ko haey meray kafan
tak mila nahin
Beti ka haal ye hai ke sar par rida nahi
Main maan houn meray dil
ko kaha
aaeyga Qaraar
Haey main karoon,
Haey Main kia karoon (x4)
5. Main pursa daynay jaaon Najaf
mein ALI ke paas
Ya phir Madina jaa ke
main roun NABI ke paas
Kis kis ka gham bataoon akeli
houn sogvaar
Haey main karoon,
Haey Main kia karoon (x4)
6. ZAINAB ke saath saath suey
Shaam jaoon main (x2)
Ya Lasha-e-HUSSAIN pay
(x2)
Aansoon bahaoon main
Haey main karoon,
Haey Main kia karoon (x2)
7. Beti raheygi zulm ke jangal
mein kis tarha
Is laal ko main chor
doun maqtal mein kis tarha
Aaee houn jis ke vaaste
main chor kar mazaar
Haey main karoon,
Haey Main kia karoon (x4)
8. Dil say laga ke rakha tha jis
dil ke chain ko
Palaa tha chakki pees ke jis noor-e-ain
ko
us ladlay ke jisme pay hai
zakhm beshumaar
Haey main karoon,
Haey Main kia karoon (x4)
9. “FAKHRI” qalam laraz ta hai
tehreer kia karein
Aur “DUKHTARAN-e-HASHIM-e-DILGEER” kia karein
Kanoo mein goonj ti hai
jo ZAHRA ki
ye pukaar
Haey main karoon,
Haey Main kia karoon (x4)
10.
ZAINAB ke saath saath
suey Shaam jaoon main (x2)
Ya Lasha-e-HUSSAIN pay
(x2)
Aansoon bahaoon main
Haey main karoon,
Haey Main kia karoon (x6)