Sughra bularahi hai audio file
Sughra bularahi hai
Qaaside fatima sughra jo karbala aaya
Laakay sughra ka khat sheh ke
havaale jop kiya
Laashay akbar pay jigar thaamkay yeh sheh
nay kahaa
(Sughra bularahi hai) x2 Yasrab ko jaao Akbar
1.
(Tum
nay kia tha vaada) x3 vaada nibhaao Akbar
(Sughra bularahi hai) x2 Yasrab ko jaao Akbar
2.
Yeh sochta hoon beta, sughra ko kia
bataaoon
Tu qatl hogaya hai, kia yeh khabar
sunaaoon
(Sughra say kya kahoon main) x3 Yeh to bataao Akbar
(Sughra bularahi hai) x2 Yasrab ko jaao Akbar
3.
Beemar behn teyri, shaadi
ka poochti hai
Likhti hai khat mein sughra
bus arzu yehi hai
(Aakar madinay bhayya) x3 Sehra sey jao Akbar
(Sughra bularahi hai) x2 Yasrab ko jaao Akbar
4.
Karbobala key ghum say, beemar bekhabar hai
Is naatavaa ki beta raahon pay bus nazar hai
(Roothi huwi hai sughra) x3 Usko manaao Akbar
(Sughra bularahi hai) x2 Yasrab ko jaao Akbar
5.
Paighaam yeh diya hai,
sughra nay tujhko beta
Main muntazir hoon kab say, takti hoon teyra rasta
(Kehti hai teyri khwahar) x3 Ab laut aao
Akbar
(Sughra bularahi hai) x2 Yasrab ko jaao Akbar
6. Dulha tujhe banaoon, sihra
teyra sajaaoon
Armaan hai yeh meyra, mehndi teyrey lagaaoon
(Bhardo
Madinay aakar) x3 Is dil kay
ghaao Akbar
(Sughra bularahi hai) x2 Yasrab ko jaao Akbar
7. Haathon ko maut
apnay, phelaae yoon khari hai
Jaisay key pyaar sey vo, mujhko bulaarahi hai
(Bus eik
baar teyra) x3 Chehra dikhaao Akbar
(Sughra bularahi hai) x2 Yasrab ko jaao Akbar
8. Ya kehdo laut
aana mumkin nahi tumhaara
Saansein hai chand
baaqi, karlungi main guzaara
(Ya
phir mujhe qazaa say) x3 Aakar bachaoo Akbar
(Sughra bularahi hai) x2 Yasrab ko jaao Akbar
9. Lagta hai yeh
mujhe kyun, vaapas na aaogay
tum
Gar dair
hogaee to, mujhko na paaogay
tum
(Aana
hai to qasam tum) x3 Sughra ki khaao Akbar
(Sughra bularahi hai) x2 Yasrab ko jaao Akbar
10.
Laashay javaan pay Sheh nay, Safdar yeh khat
sunaaya
Qaasid ko
Shaah-e-deen nay ehvaal yeh bataaya
(Kehn
a ke Shaahazaadi) x3 Ab bhool jao
Akbar
(Sughra bularahi hai) x2 Yasrab ko jaao Akbar