Sajjad
Sajjad ki ghairat nay daikhay
Kia manzar shaam ki
raahon mein
Daikha hai syed zadion ko, bechadar shaam ki raahon
mein
1.
Gardan ko jhuka kar rota tha Jab daikha saja bazaroon ko
Bazaar mein jab laey zalim
be parda parde daaron ko
Abid kay jigar par chalta
tha eik khanjar shaam ki raahon
mein
2.
Purkhaar safar ka gham tha aur na
sadma tauq aur beri ka
Eik dard shah-e-mazloom
ka tha eik gham tha haram hain be parda
Guzra hai safar beemar
ka bus ro ro kar shaam ki
raahon mein
3.
Durro ki aziyat sehta hai zakhmon say khoon bhi behta
hai
Aur shaam kay logon say Abid dil thaam
kay bus yeh kehta hai
Main itna sawali hoon
day do bus chadar shaam ki rahon mein
4.
Sajjad
tarap kar kehta tha yeh shaam
keh logon say aksar
Aey shaamion itna batlaao
kion rehem nahin khatay hum par
Aulad-e-payambar par barsay kion pathar shaam
ki rahon mein
5.
Nezey pay jo daikha sar sheh ka beemar
nay dil ko thaam lia
Farmaya baba daikheay to ummat nay kaisa haal kia
phirta hoon haram
ko saath lieay main dar dar shaam ki
rahon mein
6.
pardes mein apnay shehar ka har ek
manzar yaad ajata tha
woh shaan-o-shaukat
soch kay hi ankhon say lahu barsata tha
aata tha Madina yaad ussay jab aksar shaam ki
raho mein
7.
naizo pay saja kar laey thay sar
jannat kay sardaron kay
yeh daikh kay
bus dil rotay thay Allah-o-Nabi kay piyaron kay
Sajjad kay anson girtay
thay khoon banker shaam ki rahon
mein
8.
Jo dard sahay hain
Abid nay tareekh bhulaey gi kion
kar
Main daikh raha hoon
rahon ko
main daikh raha hoon woh manzar
Haan ab bhi wohi
bazar sajay hain SAFDAR shaam ki rahon mein