Aaj
Zainab
Kal thi shehzaadi shaam-o-kufa ki
Aaj Zainab aseer hai
baba…
1. Raaj karti thi shaam-o-kufa
par
Kal talak baanti rahi chadar
Aaj khud hogai barehna sar
Ab yeh tauqeer rehgai meri - Aaj Zainab aseer hai baba
2. Fakhr-e-Maryam hoon,
bint-e-Zehra hoon
Main to sharm-o-haya ki
malka hoon
Daikheay aaj mehway girya hoon
Waqt kaisa hai aapki beti - Aaj
Zainab aseer hai baba
3. Be kajawa hoon na aamari
hai
Aur us par yeh sang baari hai
Be rida-e-hai be qarai hai
Kion qayamat bhala nahin aati - Aaj Zainab aseer hai baba
4. Dil mein hoti hai eik chubhan
baba
Rehgaya bhai be kafan baba
Main thi lachar-o-pur
mahan baba
Aur balway mein uski maan
jaai - Aaj Zainab aseer hai baba
5. Bhai ka sar hai nok-e-naiza par
Meray sar
par jo ab nahin chadar
Roraha hai yeh daikh kar manzar
Daikhieay kehraha hai bhai bhi - Aaj Zainab aseer hai baba
6. Saath meray hai natawaan Abid
Khoon rota hai neem jaan Abid
Is sitam par hai noha khuwan Abid
Chot us nay jigar par
yeh khaai - Aaj Zainab aseer hai baba
7. Bain SAFDAR nay is tarhan
likhay
Sun kay yeh Dukhtaran-e-HASHIM
say
Girya kartay hain Karbala walay
Kal thi Shahzadai Shaam-o-Kufa ki - Aaj Zainab aseer hai baba