Baba nay
mujhe
1. Ghir
gaey fauj kay narghay mein shahe karbobala
Shah-e-konain nay us waqt di halmin ki sadaa
Nusrat-e-shah ka seenay say ik toofaan utha
Khud ko jhoolay say gira kar Ali Asghar nay kaha..
Amman mujhay maqtal ki riza do, Baba nay mujhay yaad kia
hai…
2. Yeh
kehkay Madinay say mujhay laey thay Sarwar
Fehrist-e-shahadat mein tera naam hai Asghar
Waqt aagaya parwaan charhado
Baba nay mujhay yaad kia hai
3. Main
piyaas ki shidat say nahin roya hoon amman
Is waqt isharoon mein yehi goya hoon amman
Hazir hoon main baba ko batado
Baba nay mujhay yaad kia hai
4. Jhoolay
mein mujahid kabhi thehra nahin kartay
Lori say kissi haal mein behla nahin kartay
Poshaak Shahadat ki pinhado
Baba nay mujhay yaad kia hai
5. Dam
nad-e-Ali kar kay badal do mera jaama
Aur sar pay sajado Ali Akbar ka amaama
Quran kay paaro ki hawa do
Baba nay mujhay yaad kia hai
6. Mazloom
pay maidan mein hai fauj ka reyla
Zalim meray baba ko samajh tay hain akela
Amman mujhay Abbas banado
Baba nay mujhay yaad kia hai
7. Kion
roti ho Is waqt jo rukhsat ki ghari hai
Awaaz-e-imam aai hai nusrat ki ghari hai
Jazbaat ki deewar girado
Baba nay mujhay yaad kia hai
8. Gehwaray
aur aaghosh ki kuch baat na hogi
Phir piyari behen say bhi mulaqaat na hogi
Aik baar Sakina say milaado
Baba nay mujhay yaad kia hai
9. Thay
MAHUM-e-HASHIM yehi asghar kay isharay
FAKHRI lab-e-ehsaas say asghar yeh pukaray
Janat ka musafir hoon duaa do
Baba nay mujhay yaad kia hai