Khadima Abbas ki
Main furat-e-Karbala hoon
Khadima Abbas ki
Main sunati hoon
tumhein
aao wafa Abbas ki
1. Meray baazoo dast-e-shahe-deen
say sharminda na hown (2)
Mashk
bhartay waqt thi (2)
Bus yeh duaa
.
Abbas ki
2. Main
kinaroon say uchal kar daikhti thi
baar baar (2)
Fouj-e-batil ko
bhaganay (2)
Ki adaa Abbas ki
.
3. Woh hawa ko rok kar
chahein to saansein rok dain (2)
Yeh (deher) Abbas ka hai (2)
Yeh hawa Abbas ki ..
4. Shimr nay bint-e-Ali kay
sar say cheena tha jissay
Raah takti hai abhi tak (2)
Woh rida Abbas ki..
5. Haey
woh sham-e-ghareeban, haey woh syedanian
Gonj thi jaltay huay
Khaimo
mein ya Abbas ki
6. Sun
kay bachi ki sada karwat
badalta tha jarri (2)
Jab woh kehti
thi bhatiji (2)
Hoon chacha.. Abbas ki
7. Janib-e-khaima
na lay jaein mera lasha Imam
Waqt-e-akhir goonj ti
thi (2)
Yeh sada.. Abbas ki
8. Aey Binat-e-HASHIM-e-SHEH
aey BILAAL-e-KAZMI (2)
Majlisein
barpa karo (2)
Tum jaa ba jaa.. Abbas ki