Ya
Zahra
Hai karri dhoop mein laasha, teray
mazloom pisar ka
Ya Zahra, Ya Zahra
1. Bekafan hai sar-e-Maqtal, haey seh
roz ka piyaasa..
Ya Zahra Ya Zahra
2. Chor kar apna watan dasht
basaya isnay
Apnay piyaron keh janazay ko uthaya isnay
Dil pay sehta raha sadmay, yeh
Mohammad ka nawasa..
3. Dasht mein khaa kay cina
sogaya hum shakl-e-nabi
Laashay Akbar ko utha laya
Hussain ibn-e-Ali
Laash peeri mein uthaai, yeh
to bus sheh ka jigar tha..
4. Ran mein paamal hua ibn-e-hassan ka laasha
Paara paara hua dil daikh
kay yeh Sarwar
ka
Laash kay tukray uthaa kar,
aik gathri mein woh laaya..
5. Woh jo Zainab ka
sahara tha Sakina ki thi aas
Kham hui
sheh ki kamar
qatl hua jo Abbas
Kabhi Haider ko sada di,
kabhi rokar yeh pukara…
6. Tha tera laal sar-e-dasht
akela haey haey
Teray mazloom ko har samt say ghera haey haey
Haey no laakh ka lashkar, aur tanha tera
piyaara..
7. Teer-o-talwar-o-cina-neza-o-khanjar
mein ghira
Teray nazoon ka pala zulm keh
lashkar mein ghira
Choor zakhmon say tha
ran mein, jo teray dil ka tha tukra..
8. Day kay halmin ki sada
dil gaya bhai ki taraf
Jaanay kia soch kay
chaltay thay taraai ki taraf
Hasrato yaas say sheh nay, laash-e-Abbas ko daikha..
9. Kund khanjar joonhi Shabeer ki gardan pay chala
Dasht mein goonj uthi Zainab-e-muztar ki sada
Aaeye jald khudara, bhai mushkil
mein hai mera..
10.
SAFDAR-e-khasta jigar shah ka pursa daina
Farsh-e-matam pey hain purasay
keh lieay khud Zahra
Shor matam ka bapa ho, aur labon
par ho yeh noha…