Haey
sakina haey zindaan audio file
Haey sakina haey zindaan
Woh Zulm khasta
qalbe sakina pay alamaan
dam torti
ghareeb hazeena ki hichkiyaan
Deewar o dar ki
aankhon say ashkay alam rawaan
jaisay qareeb
turbatay dukhya basad fughaan
kehta hai
cheekh cheekh kay koi yeh barmala
lagta hai
jaisay aati hai, zindaan say yeh sada
Haey Sakina
Haey Zindaan
Jis nay guzaray
noor kay halqay mein jeewan kay shaam o sahar
jis ko sulatay
thay apnay ceenay par shahe jinno bashar
yoon rakhtay
thay goud mein Sarwar(a.s.) rehl mein jaisay ho Quraan
Haey Sakina
Haey Zindaan
qaid bhi woh
jis samt hawa ka rukh ba mushkil hota ho
haey jahan dam
aale nabi ka lamha lamha ghutta ho
aisi ghutan kay
haal pay apnay girya kunna ho khud zindaan
Haey Sakina
Haey Zindaan
Jaanay ye rabe
Kaba hai guzri kaisi qayamat baade Hussain
Isnay tamachay
khaey sare maidan e musibat baade Hussain
Jis pay fida
thay Akbar e mehroon jis pay fida Abbas ki jaan
Haey Sakina
Haey Zindaan
Apna pata milta
bhi nahin yoon raat qayamat dhaati ho
rukh karnay
mein apna jidhar suraj ki kiran ghabrati ho
asl mein ye hai
gor ki manzil qaid e musibat hai unwaan
Haey Sakina
Haey Zindaan
Ehle sitam kay
zulm o sitam is qaide jafa mein sehnay ko
chor dia kion
mujh ko yahan pay pal pal jeeta marnay ko
parhti thi
bachi ki yateemi qaid mein yeh noha har aan
Haey Sakina
Haey Zindaan
qaid e alam
mein "Mahum-e-Hashim" neend kissay aati hai bhala
bistar e khaaki
pay sota hai koi aey "Dayim" sochoon zara
zindaan mein
rahat nahin milti sirf masaib kay samaan
Haey Sakina
Haey Zindaan
Haey Zindaan, Haey
Zindaan