Ay mere jawaan akber audio file
Ay mere jawaan akber
(Ay mere jawaan akbar) x3
(Aankhein to zara khool meray laal) x4
(Aankhein to zara khool meray laal) x4
(is zakhm k badlay mein har zakhm gawara tha) x2
tu dekh zara uth kar, zakhmi hai dil-e-madar
(Aankhein to zara khool meray laal) x4
(taqdeer nay yeh kaisa dikhlaya mujhay manzar) x2
hai dagh kalajay par, main sabr karoon kion kar
(Aankhein to zara khool meray laal) x4
(dekha bhi to kia dekha ye khoon bhara chehra) x2
kia main bhi karon jee kar, qurban ho ma tujh par
(Aankhein to zara khool meray laal) x4
(maa ban kay tujhay pala athara baras walay) x2
shabeer ki yeh khuwahar, kehti hai ye hi ro kar
(Aankhein to zara khool meray laal) x4
(likha hai kay kab aougay bhai mujhay laynay) x2
bemar hai wo muztar, roti hai muqaddar par
(Aankhein to zara khool meray laal) x4
(is dasht main bin teray kis tarha jeeon beta) x2
har sans lagay khanjar, har zakhm laga dil par
(Aankhein to zara khool meray laal) x4
(roti hai behen tari hai hath kalajay par) x2
masoom meri dukhtar, gham khati hai ro ro kar
(Aankhein to zara khool meray laal) x4
(narghay mian laeno ke zehra ka dulara hai) x2
koi bhi nahe yawar-hai waqt-e-madad akbar
(Aankhein to zara khool meray laal) x4
(chenay gay rida sar say balway mein phiraien gay) x2
lay jaien gay ye dar dar-bemaqna o bechadar
(Aankhein to zara khool meray laal) x4
(matam ki sadaein thein noha tha har ik lab par) x2
hum shaklay nabi akbar-a jan-o-dil-e-madar
(Aankhein to zara khool meray laal) x4