Kaisay Neend Aaeygi audio file
Kaisay Neend Aaeygi
Masoom sakina ko mila khaak ka bistar
Tareek bayaban main kehti rahi ro kar
Jeenay nahi dayti hai mujhay aapki furqat
Aur us pay sitam khauf ka pehra meray dil par
Dasht ka andhaira, aap ki judaai, ranj-o-ghum keh saaey
(Haey Baba Haey Baba kaisay neend aey) x2
hai mera muqadar ghum pay ghum uthana
aik beghari hai, dosrari yateemi, kitnay zakhm khaey
(Haey Baba Haey Baba kaisay neend aey) x2
mout noha gar hai or bekasi bhi
ashak pee rahi hoon, ghum say jee rahi hoon, kesay chain aey
(Haey Baba Haey Baba kaisay neend aey) x2
dasht main milay hain is qadar mujhay ghum
sung dil sitamgar,hans rahay hain mujh par,sun kay mari haey
(Haey Baba Haey Baba kaisay neend aey) x2
meray lab pay noha har ghari yehi hai
main kisay pukaroon, main kissay sada doon, shimr jab sataaey
aur ghum sahoon main hosala nahin hai
kon day sahara, kon day dilasa, kon ab bachaey
in aziyatoon say dum labon pay aya
baba dasht main hi, aap ki chahiti, ghum say mar na jaey
(Haey Baba Haey Baba kaisay neend aey) x2
noha parh rahi hain dasht ki hawaien
hai bohat andhaira, ye tari sakina, ban mein khoo na jaey
(Haey Baba Haey Baba kaisay neend aey) x2
hogaya laho say tar mera ye kurta
daikh lo ye manzar, zalimo nay hum par, zulm azamaey
(Haey Baba Haey Baba kaisay neend aey) x2
wastay main daiti hoon usay khuda kay
yeh yateem bachi, bekasi ko apni, kia zaban pe laey
(Haey Baba Haey Baba kaisay neend aey) x2
"safdar-e-hazeen" pay hai magar ye lazim
kar day wo raqam sab, jo sakina kay lab, keh rahay thay haey
(Haey Baba Haey Baba kaisay neend aey) x2