Sabr kar Zainab
Sabr kar Zainab
(Dasht mein tanha baradar hai sabr kar Zainab) x3
(Dasht mein tanha baradar hai sabr kar Zainab) x2
kund khanjar say mujhay apna sar katana hai
(asr ka waqt muqarar hai) x2 sabr kar zainab
(Dasht mein tanha baradar hai sabr kar Zainab) x2
apna ghar bar lutanay kay lieay aya hoon
(bas yehi marzi-e-dawar hai) x2 sabr kar zainaba
(Dasht mein tanha baradar hai sabr kar Zainab) x2
apnay kandhay pay uthayi hai lash Akbar ki
(ab qaza mera muqaddar hai) x2 sabr kar zainab
(Dasht mein tanha baradar hai sabr kar Zainab) x2
baad meray tujhay sehnay hein or bhi sadmay
(sabr karna tera behtar hai) x2 sabr kar zainab
(Dasht mein tanha baradar hai sabr kar Zainab) x2
noha kartay hain isi ghum main asman walay
(muntazir shimr ka khanjar hai) x2 sabr kar zainab
(Dasht mein tanha baradar hai sabr kar Zainab) x2
har sitam dil pe saha phir bhi sabr karta raha
(to bhi shabeer ke khuwahar hai) x2 sabr kar zainab
(Dasht mein tanha baradar hai sabr kar Zainab) x2
qaid ho jai gi bazar-e-sitam jaigi
(tujh pe qurban baradar hai) x2 sabr kar zainab
(Dasht mein tanha baradar hai sabr kar Zainab) x2
bhai shabbar ka janaza bhi tonay daikha hai
(tujh ko kis baat ka phir dar hai) x2 sabr kar zainab
(Dasht mein tanha baradar hai sabr kar Zainab) x2
"safdar"-e-khasta jigar sheh nay behn say ye kaha
(tera mazloom baradar hai) x2 sabr kar zainab