Shaam-e-Ghareeban
Teray azaaim keh mei qurbaan, behna teri himat ko salaam
khatm hui hai karbobala aur, ab hai tera bas aik hi kaam
(sham-e-ghareeban agai zainab, agay manzil shaam ki hai) x2
ab to hi muhafiz hai zainab (hai teray hawalay ghar mera) x2
Quraan sunata jaeyga sar aaj say naizay par mera
(sham-e-ghareeban agai zainab, agay manzil shaam ki hai) x2
khaimo ko jalaein gay aada (balway mein phiraien gay dar dar) x2
koi bhi museebat aajaey par sabr tujhay karna hai magar
(sham-e-ghareeban agai zainab, agay manzil shaam ki hai) x2
bazaron mein darbaron mein (yeh ehl-e-sitam lay jaengay) x2
beparda haram ko ye zalim chadar keh lieay tarsaengay
(sham-e-ghareeban agai zainab, agay manzil shaam ki hai) x2
beparda harm ko dekhay ga (ankhon say lahu barsaeyga) x2
seh lay ga sitam har aik magar shikwa na zaban par laiey ga
(sham-e-ghareeban agai zainab, agay manzil shaam ki hai) x2
pardais mein nana ki ummat (kar day gi haram pe tang zameen) x2
bedard zamanay mein behna koi bhi tera humdard nahin
(sham-e-ghareeban agai zainab, agay manzil shaam ki hai) x2
is deen-e-khuda ki khatir tu (ghar bar fida kar day zainab) x2
ta hashr zamana yaad rakhay haq aisa ada kar day zainab
(sham-e-ghareeban agai zainab, agay manzil shaam ki hai) x2
Rahoon main tamashaai hongay (bazar sajaya jaey ga) x2
marnay ki duaa mango gi jahan ye waqt wahan par layega
(sham-e-ghareeban agai zainab, agay manzil shaam ki hai) x2
naizay pe mera sar roay ga (us waqt jo hoga haal tera) x2
darbar-e-sitam say zindan tak ro ro kay katay ga sal tera
(sham-e-ghareeban agai zainab, agay manzil shaam ki hai) x2
bhai ko kafan bhi mil na saka (khuwhar kay chini sar say chadar) x2
"Safdar" ye sadaein suntay huay zainab nay kiya aaghaz-e-saf
(sham-e-ghareeban agai zainab, agay manzil shaam ki hai) x2